Pitaji Aaj Bhi Paise Bachate Hain

I-Love-Heart-Papa-paise-pyaarPurani Pant Rafoo Kara kar Pehente Jaate Hain,
Branded Nayi Shirt dene par aankhein dikhate hain
Toote chashme se hi akhbaar padhne ka luft uthaate hain
Topaz ke blade se daadhi banate hain
Pitaji aaj bhi paise bachaate hain!

Kapde ka purana thaila liye door ki Mandi tak jaate hain
Bahut mol bhaav karke fal-sabzi laate hain
Aata nahin khareedte,
Genhu piswaate hain
Pitaji aak bhi paise bachaate hain

Station se ghar paidal hi aate hain
Rikshaw lene se kataraate hain
Sehat ka hawala dete jaate hain
Badhti mehengai pe chinta jatate hain
Pitaji aaj bhi paise bachaate hain

Poori garmi pankhe mein bitaate hain
Sardiya aane par rajaai mein dubak jaate hain
AC/Heater ko sehat ka dushman batate hain
Light chalu reh jaane par naraz ho jaate hain
Pitaji aaj bhi paise bachaate hain

Maa ke haath ke khane mein ramte jaate hain
Bahar khaane mein aanakaani machate hain
Saaf safai ka hawala dete jaate hain
Mirch masaale aur tel se ghabraate hain
Pitaji aaj bhi paise bachaate hain

Gujre kal ke kisse sunaate hain
Kaise yeh sab joda, garv se bataate hain
Purane dino ki yaad dilaate hain
Bachat ki ahmiyat samjhate hain
Hamari har maang aaj bhi,
Foran poori karte jaate hain
Pitaji hamare liye hi paise bachaate hain.

Ek Baar Phir Apne School Wapas Laut Jaaun

Waha ki DHUP bhi achi lagti thi
Yaha ki AC me bhi aaram nahi hai

Waha GHAAS pe baithna bhi acha lagta tha
Yaha CHAIRS pe bhi chain nahi hai

Waha ke SAMOSHE bhi swadisht the
Yaha ke BURGER me bhi swad nahi hai

Waha ki CHAI bhi meethi lagti thi
Yaha ki CAPACHINO me bhi mithas nahi hai

Wo BLUE UNIFORM aur JEANS me ek confidence tha
Aaj FORMAL me bhi comfort nahi hai

Wo BLACK SHOES me jo baat tha
Woh aaj ADIDDAS aur NIKE me nahi hai

SCHOOL/COLLEGE BUS ki aakhri seat pe baith ke Gaaye hue Gaano ki jaise ab Dhun bhi yaad nahi hai
Ab bas saamne ek Computer Screen hai aur hasne layak koi mazak nahi hai

Faculty se ladte waqt ye pata bhi nahi tha ki Manager ke samne kuch bol bhi nahi paenge
Ab to ye bhi nahi pata hota ki hum wapas Ghar kab jaenge

Ek Jhuthi Muskurahat liye hum jaise jee rahe hai
Zindagi ka koi bhi Ghum ho Office ke kaam ke saath pee rahe hai

Subah ka ek Message: “Aaj nahi chalte yaar”
Ab: “Its 9.30 where are u??” me badal gaya hai

Pehle jiss hasti ko lagbhag pura School/College janta tha
Aaj wo ek CUBICAL me simat ke reh gaya hai

Pehle ek dusre ki party me jaise bill badhane jate the
Aaj ki Partiyo me thodi si Khusiya paane jate hai

Pehle Best Friend B’day pe cake na laye to gussa ho jate the
Aaj to Best Friend se B’day pe mil bhi nahi pate hai

Woh School/College group ki ladaiya jo agle din hi bhul jaate the
Aaj Manager aur Subordinate ki jung me tabdeel ho gayi hai

Exam hall ki “ek line bata de yaar”
Wo ek line ab Google pe bhi nahi mil rahi hai

Pehle jinhe ghanto baith ke hasate the
Aaj unse jee bhar ke baat karne ka bhi time nahi hai

Pehle jinse mile bina din nhi kat.ta tha
Aj unke bina zindagi kat rahi hai

Wo Mid-Sem me ek shabd bhi na likhne ki azadi
Aaj jaise badi badi Excel sheet update karne ki majburi me tabdeel ho gayi hai

“Tune kitna padha plz mujhe bhi padha de yaar” yaha koi nahi sunta
“I have done my work please review it” hi hamari favorite line ban gayi hai

Dil kehta saari bandishe tod ke wapas chala jaau….
Ek baar fir apne school/college me wapas laut jaau..

Bachpan Wala Wo “Itwar” Ab Nahi Aata

wo-bachpan-yaad-aata-hai-shayari

Bachpan wala wo “Itwar” ab nahi aata
Dost pe ab wo pyar nahi aata..
Jab wo kahta tha to nikal padte the bina ghadi dekhe..
Ab ghadi me wo samay aur wo vaar nahi aata..
Bachpan wala wo “Itwar” ab nahi aata..

Wo bicycle ab bhi mujhe yaad hai jispe main uske
pichhe baith ke khush ho jaya karta tha..
Ab uski car me bhi aaram nahi aa pata..
Jeevan ki raaho me aisi uljhi hai gutthiya..
Uske Ghar ke saamne se gujar k bhi uss se milna nahi ho pata..

Wo Mogli.. Wo Uncle Scrooge.. Ye Jo hai Zindagi..
Surabhi.. Rangoli aur Wo Chitrahar ab nahi aata..
Ramayan.. Mahabharat.. Chanakya.. Ka wo Kaal ab nahi aata..
Bachpan wala wo “Itwar” ab nahi aata..

Ab har war Somwar hai..
Kaam.. Dukan.. Boss.. Biwi.. Bachche..
Bas yahi zindgi hai..
Dil se Dil ki baat ka izhar nahi ho pata..
Bachpan wala vo “Itwar” ab nahi aata
Bachpan wala vo “Itwar” ab nahi aata…