Kudrat ke niyamon se inaayat na karna,
Apni Kismat pe aitbaar na karna,
Wo khud dega ijazat apko,
Bas, Waqt se pehle paane ki shikayat na karna..
Category: Ghalib Shayari
Ghalib Shayari – Zindagi Dhund Lete
Jo Kagaz Ke Phoolon Mein Khushbu Dhund Jate Hain,
Jo Chhoti Chhoti Khushiyon Mein Bada Sukh Pate Hai,
Jo Apno Mein Farishte Dhund Lete Hai,
Aise Hi Log Zindagi Jee Lete Hai..
Mirza Ghalib Poetry
Yaad hai shaadi mein bhi hungama-e-ya-rab mujhe,
subha-e-zaahid hua hai khanda zer-e-lab mujhe.
Hai kushaad-e-khaatir-e-wa-basta dar rahn-e-sukhan,
tha tilism-e-qufl-e-abjad khaana-e-maktab mujhe.
Yaa rab iss aashuftagi ki daad kis se chaahiye,
rashk aasaaish pe hai zindaaniyon ki ab mujhe.
Taba hai mushtaaq-e-lazzat-ha-e-hasrat kya karun,
aarzoo se hai shikast-e-aarzoo matlab mujhe.
Dil laga kar aap bhi ‘ghalib’ mujhi se ho gaye,
ishq se aate the maane mirza saahib mujhe. !!
WhatsApp Status for Ghalib Shayari
1. Husn-e-maah garche ba-hangaam-e-kamaal achchaa hai
Us-se mera maah-e-kursheed jamaal achcha hai
2. Bosa dete nahin aur dil pe hai har lehzaa nigaah
Jee mein kehte hain ki muft haath aaye to maal achcha hai
3. Aur bazaar se le aaye agar toot gayaa
Saagar-e-Jam se mera jaam-e-sifaal achcha hai
WhatsApp Status by Mirza ghalib
1. Kitnaa khouff hota hai shaam ke andheroon mein,
Pooncho un parindoo se jin ke ghar nahi hote …”
2. Dil ae tere nigaah jigar tak utar gayi,
Dono ko ek adaa mein razaamand kar gayi..
3. Husn-e-maah garche ba-hangaam-e-kamaal achchaa hai
Us-se mera maah-e-kursheed jamaal achcha hai
Mirza Ghalib Shayari for WhatsApp Status
1. Hathon ki lakiroon pe mat jaa ae Ghalib,
Naseeb unke bhi hote hain jinke haath nahi hote..
2. Mat poonch ki kya haal hai mera tere peeche,
Tu dekh ke kya rang hai tera mere aage …
3. Ishq per zor nahin, yeh woh aatish Ghalib,
Ke lagaye na lage aur bujhaaye na bujhe..
4. Humko maaloom hai jannat ki haqeeqat lekin,
dil ke khush rakhne ko, Ghalib yeh khayaal achcha hai..
5. Ishq ne ‘Ghalib’, nikamma kar diya
Warna hum bhi aadmi the, kaam ke..