Maa ki kahani thi,
Pariyon ka fasana tha;
Barish mein kagaz ki naav thi,
Har mausam suhana tha.
Har khel mein saathi the,
Har rishta nibhana tha;
Gum ki zuban na hoti thi,
Na zakhmon ka paimana tha.
Rone ki wajah na thi,
Na hansne ka bahana tha;
Kyon ho gaye hum itne bade,
Isse achha to woh Bachpan ka Zamana tha…
Door Ho K Bhi Apke Pass Raha Kerty Hain.
Teri Yadon K Sahary Jia Kerty Hain
,
Tujh Se Koi Shikayat Na Gila Kerty Hain,
Tu Salamat Rahy Bas Yehi Dua Kerty Hain.
“Faiz Talash”