Udaas hai tumhare bina yeh zindagi,
Hansi aur gham ka ehsaas hai yeh zindagi,
kabhi waqt mile to aana mere zindagi mein,
Adhure milan ki aas hai yeh zindagi..
Category: Yaadein Shayari
Yaadein Shayari – Mohabbat Ki Nishani
Mohabbat ki nishani abhi baki hai ,
Unka naam zuban par abhi baki hai,
Kya hua agar jo wo dekhkar muh fer lete hain ,
Yeh ahsaan kya kum hai,jo unko hamari pehchan abhi baki hai..
Yaadein Shayari – Usi Ki Zarurat
Aansuon ki bunde hain ya aankho ki nami,
Na to upar aasma hai aur na niche zameen,
Kaisa hai yeh ajeeb sa mod zindagi ka,
Usi ki hain zarurat aur usi ki hai kami..
Yaadein Shayari – Tum Nahi Aaye
Khushboo Ki Tarah Aaya Woh Tej Hawaaon Mein,
Maanga Tha Jise Humne Din Raat Duaaon Mein,
Tum Chhat Pe Nahi Aaye Main Ghar Se Nahi Nikla,
Yeh Chaand Bahut Bhatka Saawan Ki Ghataon Mein..
Yaadein Shayari – Thodi Si Mohabbat
Khwab mein aata hai uska chehra,
To lab par uski fariyaad aati hai,
Hum bhul jate hain uske sare sitam,
Jab uski thodi si mohabbat yaad aati hai..
Yaadein Shayari – Ajeeb Log Hai Zamane Mein
Saans Tham Jati Hai Par Jaan Nahi Jati,
Dard Hota Hai Par Aawaz Nahi Aati,
Ajeeb Log Hai Is Zamane Mein,
Koi Bhul Nahi Pata Aur Kisi Ko Yaad Nahi Aati..