Bewafa Shayari – Wo mohabbat karne wali badal gayi

Shayari-bewafa
Wo Pyaar Ka Saboot Dikhaya Karti Thi.
Ansu Baha Kar Hume Manaya Karti Thi.
Yeh Zindgi Bus Tumse Vabasta Hai.
Aksar Yeh Baat Hume Bataya Karti Thi.
Saari Raat Hume Jagaya Karti Thi.
Bechaini Hudh Se Badh Jaye To,
Jee Bhar Ke Gale Lagaya Karti Thi.
Woh Itni Mohabbat Karne Vaali Badal Gayi.
Jo Aksar Har Baat Mein Hamari,
Kasmein Khaya Krti Thi..!

Some Ishq-e-mohabbat Type WhatsApp Status – Two Liners

whatsapp shayari
1. Talkh Itni Thi ke Peene Se Zabaan Jalti Thi
Zindagi Aankh Ke Pani Me Mila Li Mein Ne…!

2. Beth Jata Hun Khaak Par Aksar
Apni Auqaat Achi Lagti Hai Mujhe….!!

3. Ye Meri Aqeedat-e-Be_Sabar, Ye Meri Ibadat-e-Be_Sabar
Mujhe Mere Dawah-e-Ishq Ney Na Sanam Diya, Na Khuda Diya…

4. Zaroorat Torr Deti Hai, Gharoor-e-Be_Niazi Ko,
Na Hoti Koi Majboori To har Banda Khuda Hota…!

5. Ab Wahan Yaadon Ka Bikhra Hua Malba Hi To Hai,
Jis Jaga Ishq Ne Buniyad Makaan Rakhi Thi…!

6. Tere Mashware Ke Khaloos Pe Mujhe Tark-e-Ishq Qabool Hai,
Mager Aik Baat Hai Hum Nasheen! Meri Zindagi Ka Sawal Hai…!

Mughal- E- Azam – Movie Shayari

mughal e azamTaqdeerein badal jaati hai,
zamana badal jaata hai,
Ulkon ki tarikh badal jaati hai,
Shahenshah badal jaate hai …
Magar is badalti hui duniya mein
Mohabbat jis insaan ka daaman thaam leti hai …
Woh insaan nahi badalta.

Mohabbat karne waalo ka bas itna hi hai afsana …
Tadapna chupke chupke,
Aah bharna,
Ghutke marr jana

Mohabbat humne maana zindagi barbad kar deti hai …
Yeh kya kam hai ki marr jaane pe duniya yaad karti hai.

Mohabbat Shayari – Is dil ne tere baad mohaabat bhi nahi ki

Beautiful-Girl- shayari
Is dil ne tere baad mohabbat bhi nahi ki
Hadh yeh ki dhadakne ki jasaarat bhi nahi ki
Tabeer ka aizaz hua hai use haasil
Jisne meri khwabon mein sharakat bhi nahi ki
Ulfat to barri baat hai hum se to sir-e-sheher
Logo ne kabhi dhang se nafrat bhi nahi ki
Aadab-e-safar ab wo sikhate hain jinho ne
Do chaar qadam tay yeh musaafat bhi nahi ki
Kya apni safai mein bayaan daity ke hum ne
Nakarda gunahon ki wazahat bhi nahin ki
Khamosh tamashaai k emanind sir-e-bazm
So zakhm sahay dil pe, shikayat bhi nahin ki
Us ghar ke sabhi log mujhe chodne aaye
Dehleez talak us ne yeh zehmat bhi nahin ki
Us ne bhi ghulamon ki safon mein humain rakha
Is dil pe kabhi jis ne hakoomat bhi nahin ki. . !