Taqdeerein badal jaati hai,
zamana badal jaata hai,
Ulkon ki tarikh badal jaati hai,
Shahenshah badal jaate hai …
Magar is badalti hui duniya mein
Mohabbat jis insaan ka daaman thaam leti hai …
Woh insaan nahi badalta.
Mohabbat karne waalo ka bas itna hi hai afsana …
Tadapna chupke chupke,
Aah bharna,
Ghutke marr jana
Mohabbat humne maana zindagi barbad kar deti hai …
Yeh kya kam hai ki marr jaane pe duniya yaad karti hai.