Pyar me Kuch Kuch Hota Hai
Pyar me Dil To Pagal Hai
Pyar me Kabhi Khushi Kabhi Gham
Pyar ek aisi Paheli hai jo Na Tum Jano Na Hum…
Tag: Bollywood
Fanaa Movie Shayari
Dur Humse Jaa Paoge Kaise,
Humko Bhool Paoge Kaise.
Hum Who Khushbu Jo Saanson Mein Utar Jaye,
Khud Apni Saanson Ko Rok Paoge Kaise..
E Khuda Aaj Ye Faisla Karde,
Use Mera ya Mujhe Uska Karde.
Bahut Dukh Sahe He Maine,
Koi Khusi Ab Toh Muqadar Karde.
Bahot Muskil Lagta Hai Usse Door Rehna,
Judai Ke Safar Ko Kum Karde.
Jitna Duur Chale Gaye Woh Mujhse,
Use Utna Kareeb Karde.
Nahi Likha Agar Nasib Me Uska Naam
To Khatam Kar Ye Zindagi aur Mujhe FANAA Karde.
Lage Raho Munna Bhai Shayari
Shehar ki is daud me daud ke karna kya hai?
Jab yehi jeena hai dosto to phir marna kya hai?
Paheli barish me train late hone ki fikr hai
Bhul gaye bhigte hue tahelna kya hai?
Serials ke kirdaaro ka saara haal hai malum hai
par maa ka haal puchhne ki fursat kahan hai?
Ab ret pe nage pao tahelte kyu nahi?
108 hai channel phir dil bahelte kyu nahi?
Internet ki duniya ke to touch me hai,
lekin pados me kon raheta hai jaante tak nahi.
Mobile, Landline sab ki bharmaar hai,
Lekin jigri dost tak pahuche aise taar kaha hai?
Kab dubte hue suraj ko dekha tha yaad hai?
Kab jaana tha shaam ka woh banana kya hai?
To Dosto Shehar ki es daud me daud ke karna kya hai
Jab yahi jeena hai to phir Marna kya hai?
Wo Mujhe Keh Ke Chali Gayi – Go 2 Hell
Wo mujhe keh k chali gayi ‘Go To HELL’
wah wah
Wo mujhe keh k chali gayi ‘Go To HELL’
Aur main dil pe hath rakh ke kehta raha…
‘AAL IZZ WELL..!’
‘AAL IZZ WELL..!’
Gulaab Gang Madhuri Shayari
Madhuri Dixit Speaks in Shayarana Andaaz
Jaise Til mein Tail hai
Joo Chagmag mein aag
Tera Sai tujhme hai
Tu jaag sake to jaag
Jurm, Jurm hota hai
Aur Insaaf, Insaaf hota hai
Hamare yaha ek kahawat hai
Danda sabka Peer hota hai
To Juhi Chawla
Sangthan mein Shakti hai
Aur akele mein aapki fatati hai!
Diljale Movie Shayari
Ek pal mein jo aakar gujar jaaye
Yeh hawa ka woh jhoka hai ..aur kuch nahi
Pyar kahti hai duniya jise,
Ek rangeen dhokha hai .. aur kuch nahi
Kyon banaati ho tum ret ke mahal,
Jise khud hi tod dalogi tum.
Aaj kehti ho is dijlale se pyar hai tumhe,
Kal to mera naam tak bhool jaogi tum.
Aarzoo jhooth hai,
Aarzoo ka fareb khana nahi ..
Khush jo rahna ho zindagi me tumhe..
Dil kabhi kisi se lagana nahi.