Badi rajnaitik gehmagehmi , badal raha mahaul,
Karam ke the jo aalsi pit rahe hain hol,
Janta ab hai jagti lambi neend to tod,
Khul jayegi ab to makhmal mein lipte netaon ki pol,
Loota gairon ne to apno ne bhi koi kasar na chhodi,
Sone ki chidiya ki keemat reh gayi chand kaudi,
Hath failay khada ab yeh dani desh,
Nigal gaya is desh ko usko apno ka hi dwesh,
Agar abhi bhi hai yahan ke janta mein thodi bhi budhi shesh,
To karo upyog apne haq ka aur karo nayi urja ka samavesh
Tag: WWKBH
WWKBH Shayari – Betiyaan
agar beta vaaris hai
to beti paras hai
agar beta vansh hai
to beti ansh hai
agr beta aan hai
to beti shaan hai
agar beta tan hai
to beti man hai
agar beta sanskaar hai
to beti sanskriti hai
agar beta dava hai
to beti dua hai
agar beta geet hai
to beti sangeet hai
agar beta bhagya hai
to beti vidhata hai
yahi beti maa bhi hai , behen bhi hai aur patni bhi
WWKBH – Shailesh Lodha
Nasha hota hai,
Uski baaton se bhi nasha hota hai,
Uske khayalon se bhi nasha hota hai,
Uski nigahon se bhi nasha hota hai,
Uski zulfon se bhi nasha hota hia,
Usko dekhun to nasha hota hai,
Uske pyar mein nasha hota hai,
Uske husn mein nasha hota hai,
Mohabbat bhi kaisi cheez hai,
Usme bus nasha hi nasha hota hai,
Agar pyar mein hai nasha to mujhe manzoor yeh asha hota hai.