We Want A Better Tomorrow

india politics
How strange to think of those streets
and vacant lots, the sandhills
where we played and dug our trenches;
the forts we built, the enemies
we conjured to aim our stick-guns at,
and then went home at evening,
to victory, to safety and sleep.

And now the vast acres of rubble,
the pitched and roofless houses,
upended stonework and sunken bridges.
The dog-packs roaming, digging,
for the one still-unclaimed victim;
the stray sniper aiming at dusk,
and in the roadside fields,
flowers that explode when picked.

The children wandering from one
burned suburb to another,
seeking that which no longer exists:
a neighborhood, a playing field,
a wading pool or a standing swing;
for a kite to fly, a ball to throw,
or just one pigeon to stone.

And through all this haunted vacancy,
from cellars and pits of sand,
come and go as on a fitful wind
such whispers, taunts and pleadings:
the scolding voices of dead parents,
the lessons of teachers no longer
standing, whose classrooms
are blown to ash and smoky air.

And far-off, unheard beyond the drone
of a single hovering aircraft –
in Paris, Zurich, Prague, or London,
the murmur of convening statesmen.

Election ka Dhamaal Shayari

letthegamesbegin
Andher nagari choupat raja
Sonia aur laloo bajaye baja

Kanoon todne wale banayenge kanoon
Swadesh ke khatir ladne walon ka barbaad hua khoon

Kuch din pahle, gareeb kisan no ne khud khushee kiye..
Mausam haat de gaya tha
Ab business men apni jaan denge..
bazaar gir gayaa hai..

Logon ko upar uthane kee tamanna nahin hai..
Sab ko niche gira ka ek banane chale hai sarkar..

Wah ri duniya, wah India..
Ek Gandhi ne, pardeshiyon ko bahar bheza
Ek Gandhi ne pardesi ko bahu se PM banaya..

Kya sahi hai, kya galat hai..
India super-power banene chali thee,
banee ek firangi sarkar..
Aaj zhuk gaya sharm se sar
100 crore mein, 1 nahin des chalane kee kabil

Wah Wah Kya Baat Hai Shayari

india-shining-ken_26
Badi rajnaitik gehmagehmi , badal raha mahaul,
Karam ke the jo aalsi pit rahe hain hol,
Janta ab hai jagti lambi neend to tod,
Khul jayegi ab to makhmal mein lipte netaon ki pol,
Loota gairon ne to apno ne bhi koi kasar na chhodi,
Sone ki chidiya ki keemat reh gayi chand kaudi,
Hath failay khada ab yeh dani desh,
Nigal gaya is desh ko usko apno ka hi dwesh,
Agar abhi bhi hai yahan ke janta mein thodi bhi budhi shesh,
To karo upyog apne haq ka aur karo nayi urja ka samavesh

Chunavi Chatkhara Shayari

Desh bhakti shayari
Aajkal chuhe mere ghar mein bahut aane lage,
Mere ghar ko kutarne lage khane lage,
Do mahine se kitchen mein saji eklauti pyaz par,
Jaise hi usne nazar mari,
Shaukeen chuhe ko dekh meri chhati indri turant hi jayegi.
Maine puchha hey kutran ke karigar,
Kyun itne manoyog se kha rahe ho mera ghar,
Chuhe ne pehle ek shabd tola, fir badi vinmrata se bola,
Aachar sanhita lag gayi hai, aur meri daud ko,
Kutran ki aadat pad gayi hai.
Ab to main chunav ke baad hi jaunga, jab tak tera hi kutrunga aur tera hi khaunga.
Mujhe pakka vishwas hai tum hi mujhe desh kutarne ka mauka doge,
Aur baad mein apne nirnay pe apna sir dhunoge.

WWKBH – Shailesh Lodha

Netaji padhare - WWKBH
DHANYA BHAG HAMARE NETA JI PADHARE,
PAANCH SAAL BAAD AAYE HAMARE DWAARE.

KEHTE HAI PURANI BAATO KO BHUL JAAO,
IS BAAR BHARI BAHUMATO SE INKO JITAAO,
NETA JI DAR-DAR BHATAK RAHE BECHARE,
DHANYA BHAG HAMARE NETA JI PADHARE…

JAB BEETE SAALON KA DIKHAYA UNKO AAINA,
HAR BAAT HAMARI SACCHI UNKO BHAI NA,
AB MATDATA UNKO LAG RAHE PIYAARE,
DHANYA BHAG HAMARE NETA JI PADHARE…

NETAJI NE IS BAAR NAI YUKTI APNAI HAI,
KAI RANG-BIRANGI LOLLIPOP DIKHAI HAI,
DIKHA RAHE HAI DIN MEIN SABKO TAARE,
DHANYA BHAG HAMARE NETA JI PADHARE…

DHANYA BHAG HAMARE NETA JI PADHARE,
PAANCH SAAL BAAD AAYE HAMARE DWAARE