Aajkal chuhe mere ghar mein bahut aane lage,
Mere ghar ko kutarne lage khane lage,
Do mahine se kitchen mein saji eklauti pyaz par,
Jaise hi usne nazar mari,
Shaukeen chuhe ko dekh meri chhati indri turant hi jayegi.
Maine puchha hey kutran ke karigar,
Kyun itne manoyog se kha rahe ho mera ghar,
Chuhe ne pehle ek shabd tola, fir badi vinmrata se bola,
Aachar sanhita lag gayi hai, aur meri daud ko,
Kutran ki aadat pad gayi hai.
Ab to main chunav ke baad hi jaunga, jab tak tera hi kutrunga aur tera hi khaunga.
Mujhe pakka vishwas hai tum hi mujhe desh kutarne ka mauka doge,
Aur baad mein apne nirnay pe apna sir dhunoge.
Tag: India
Wah Wah Kya Baat Hai Shayari
Aaj is desh ka surat-e-haal kya hai
Macha hua har taraf ye bawaal kya hai
Mausam mein har ek pal koi saazish hai pal rahi
Kishi ki asmat hui tar-tar to koi zinda hai jal rahi
Kahan gayi hamari taleem-o-tarbiat
Kya itni bigad gayi hamari zehniyat
Kyun zehen mein chaa rahi itni haiwaniyat
Kyun bhool rahe hai hum apni insaniyat
Ye haal dekh kar zehen mein ek hi sawaal aata hai
Kya ek wohi desh hai zahan aurat ko puja jata hai