Heartwarming Friendship Poem

true friendhip poem
When we first talked to each other
I knew we would always be friends.
Our friendship has kept on growing
And I’ll be here for you to the end.

You listen when I have a problem
And help dry the tears from my face.
You take away my sorrow
And put happiness in its place.

We can’t forget the fun we’ve had
Laughing ’til our faces turn blue.
Talking of things only we find funny
People think we’re insane-If they only knew!

I guess this is my way of saying thanks
For catching me when I fall.
Thanks once again for being such a good friend
And being here with me through it all.

Love Poem – Kya kami hai mujh mein

love poem
Kya Kami Hai Mujh Mein,
Ye Aaj Tak Mai Samajh Nahi Paya
Koi To Baat Hogi Tere Dil Mein,
Jo Kabhi Mai Jaan Na Paya
Koi To Surat Hogi Teri Nigahon Mein,
Lekin Aaj Tak Use Dekh Nahi Paya
Andaza Nahi Tujhe , Kya Hai Is Dil Mein,
Tere Pyar Me Maine khud ko Sirf Tanha Paya
Mana Aasan Nahi Mujhe Basana Dil Mein,
Tujhse Mai Koi Zidd Nahi Kar Paya
Kya Halat Hui Hai Gham Ke Aalam Mein,
Zindagi Ka Imtihaan Mai Jeet Nahi Paya
Muddatein Beeti Yoonhi Yaadon Mein,
Kuch Bhi Main Apna Bana Na Paya
E Khuda Aur Kya Rakha Hai Mere Naseeb Mein,
Tera Diya Taufa Mai Rakh Nahi Paya
Bula Le Mujhe Ab Tere Aashiyane Mein,
Is Jahan Se Mai Takra Nahi Paya.

Pyar ki dastaan

Beautiful-Love-shayari
Mere kareeb jo tum aao kisi lamhe ke liye..
Be-qarar jism ki aag ko qarar mil jaye Jaan’an
Hothon se karti raho shararat tum..pas mere aane ki
aur main khainch loon tumhe apni taraf kisi bahane se
yeh rashmi tareeke se nahi hota intezar…pas aane ko
bhool jao kuch lamhe ke liye sab kuch..aur ho jao tum meri
tujh ko pyar itna karun ki inteha na ho
tere kareeb itna aoun ki fasla na rahe
aur tujhe aise choo loon ki koi sharm-o-haya na ho
tu ban jaye mere jism-o-jaan ka ik hissa
jab chahun kareeb aoun..jab chahun tujhe apna bana loon..!!

Bachpan ke Din

bachpan ki yaadein
Barish ke chham-chham bundo se,
kuch hosh mein main ab aaya hu,
Beet gaye ab din bachpan ke,
yeh saugat hai kyun main paya hun,
Wo din kitne rangile the,
jab sapne na koi sajile the,
Duniya mein kitni raunak thi,
kapde jab sbke gile the,
Ye kyun madhosh jawani aayi hai,
Berang tarange layi hai,
Guzar jati hai barsat bhe ab yun hi,
ek bar na khushiyan lai hai,To,
Bachpan ke wo din achhe the,
jab mauj mein hum sab bachhe the.

Baarish Poem

baarish poem
Kal Halki Halki Barish Thi
Kal Sard Hawa Ka Raqs Bhi Tha
Kal Phool Bhi Nikhray Nikhray The
Kal Un Pe Aap Ka Aks Bhi Tha
Kal Badal Kale Gehre The
Kal Chand Pe Lakhon Pahre The
Kuch Tukre Aap Ki Yaad Ke
Bari Der Se Dil Mein Thehre The
Kal Yaadain Uljhi Uljhi Thi
Aur Kal Tak Yeh Na Suljhi Thi
Kal Yaad Bahut Tum Aye The
KAL YAAD BaHUT TUM AYE THe