Jinka naam sunke milti hain ek badi si kick
Jinki fan hai yaha pe baithi har ek chick
Jinke intezaar me ghadi kar rahi hai tick tick tick
None other than, please welcome Anu Malik
Sidhu Shayari for Anu Malik in Comedy Nights
Ek karwa hum apne sath lekar aaye hain
Na mandap hai, na ghodi hai
Phir bhi khushiyo ki baarat
sath mein lekar aaye hain
Daadi,
Zindagi apne aap mein hi ek nasha hai
Arey ladkhada ke jeene mein kya maza hai
Jung mein hathiyar nahin, Jigra kaam aata hai
Zindagi mein paisa nahin, Hunar kaam aata hai
Yun to kayi naam aate hain meri zubaa par
Lekin sangeet ka zikr ho, to anu malik ka naam aata hai
Dhoom 3 – Movie Shayari
Bande hai hum uske,humpe kiska zor hai,
Umeedon k suraj ,nikale chaaro aur,
Irade hai fauladi,himmati har kadam,
Apne haathon kismat likhne……aa chale hum…!!
Maskhara, Majakiya, Vidusak, Joker Clown
Ye sab hamare nam hain, Lekin clown bana Serious kam hai,
Kyuoki maskhare ka khel dhokhe ka hota hai
Jisme audience ko lagta hai Ki jeet unki ho rhi hai
Magar jitte hum hain…Hamesha..!
Ramleela Movie Shayari
Knife pe gire apple,apple pe gire knife
Sala phone nahi utha rha hai, call kar rhi hai wife…
Chakali,chuda,ghud,papdi aur samose
Mera to sab ram bharose..!
Namkin Nani, naughty nana hai
Mayke kab tak rahugi, Ram ke ghar jana hai..!
Jab Ram naam ka raag lage, Toh paani mein bhi aag lage!
Difference in Lover & Friend
.
&
Friend: Jab tak main zinda hoon, tumhe kuch nahi hone dunga!
Pitaji Aaj Bhi Paise Bachate Hain
Purani Pant Rafoo Kara kar Pehente Jaate Hain,
Branded Nayi Shirt dene par aankhein dikhate hain
Toote chashme se hi akhbaar padhne ka luft uthaate hain
Topaz ke blade se daadhi banate hain
Pitaji aaj bhi paise bachaate hain!
Kapde ka purana thaila liye door ki Mandi tak jaate hain
Bahut mol bhaav karke fal-sabzi laate hain
Aata nahin khareedte,
Genhu piswaate hain
Pitaji aak bhi paise bachaate hain
Station se ghar paidal hi aate hain
Rikshaw lene se kataraate hain
Sehat ka hawala dete jaate hain
Badhti mehengai pe chinta jatate hain
Pitaji aaj bhi paise bachaate hain
Poori garmi pankhe mein bitaate hain
Sardiya aane par rajaai mein dubak jaate hain
AC/Heater ko sehat ka dushman batate hain
Light chalu reh jaane par naraz ho jaate hain
Pitaji aaj bhi paise bachaate hain
Maa ke haath ke khane mein ramte jaate hain
Bahar khaane mein aanakaani machate hain
Saaf safai ka hawala dete jaate hain
Mirch masaale aur tel se ghabraate hain
Pitaji aaj bhi paise bachaate hain
Gujre kal ke kisse sunaate hain
Kaise yeh sab joda, garv se bataate hain
Purane dino ki yaad dilaate hain
Bachat ki ahmiyat samjhate hain
Hamari har maang aaj bhi,
Foran poori karte jaate hain
Pitaji hamare liye hi paise bachaate hain.