WhatsApp Status in Hindi

whatsapp shayri
1. Manzilein to khusnaseebon ko hasil ho gayi,
Hum to deewane the jo safar mein hi rahe gaye.

2. Mohabbat ki talash mein nikale ho tum, arre o pagal.
Mohabbat khud talash karti hai jisse barbaad karna hota hai.

3. Abhi hasna seekha hi tha.
Ki Wakt ne fir apni aukat dikha di.

Gham-e-Duniya

ghazals in hindi
Ab ke hum bichde to shaayad kabhi khwaabon mein mile
Jis tarah sookhe huye phool kitaabon mein mile

Dhoond ujde huye logon mein wafa ke moti
Ye khazane tujhe mumkin hai kharabon mein mile

Tu khuda hai na mera ishq farishton jaisa
Dono insaan hain to inum itne hijaabon mein mile

Gham-e-duniya bhi gham-e-yaar mein shaamil kar lo
Nasha behta hai sharaabon mein to sharabon mein mile

Ab labon mein hoon na tu hai na wo maaji hai faraaq
Jaise do saaye tamaana ke saraabon mein mile

WhatsApp Status in Hindi

zindagi shayari
1. Zindagi ke usool kabaddi ki tarah hain,
Jaise hi safalta chhute hain log lag jate hain peeche khinchne mein..

2. Khuda ne likha hi nahi tujhe mere naseeb mein,
Warna khoya to bahut kuch tha tujhe pane ke liye..

3. Thokarein kha kar bhi na sambhle tomusafir ka naseeb,
Warna patharon ne to apna farz nibha hi diya..

4. Mujhe maloom hai ki yeh khwab jhuthe aur khwahish adhoori hai,
Magar jinda rehne ke liye kuch galatfahmiyan jaruri hai..

Do Baatein Zindagi Ki – Khushiyan aur Gum

Sweet-love
Khushiyan kum aur armaan bahut hain,
Jise bhi dekhiye yahan hairan bahut hai,
Kareeb se dekha to hai ret ka ghar,
Door se magar unki shaan bahut hai,
Kehte hain sach ka koi sani nahi,
Aaj to jhuth ki aan-baan bahut hai,
Mushkil se milta hai shahar mein aadmi,
Yun to kehne ko insaan bahut hain,
Tum shauk se chalo rahein wafa lekin,
Zara sambhal ke chalna toofan bahut hain,
Waqt pe na pehchane koi yeh alag baat,
Waise to shahar mein apni pehchaan bahut hai.

Inspirational Shayari – Dard Bhari Dastan About Life

zindagi shayari
Thak Gaya Hun Teri Naukri Se Ae Zindagi
Munasib Hoga Tu Mera Hisab Kar De..!

Doston Se Bichhad Kar Yeh Hakikat Khuli
Beshak Kamine The Par Rounak Unhi Se Thi..!

Bhari Jeb Ne Duniya Ki Pehchan Karwai
Khali Jeb Ne Insaano Ki..!

Jab Paise Lage Kamane to Samajh Mein Aaya
shouk To Maa Baap Ke Paiso Se Pure Hote The
Apne Paiso Se to Sirf Zaruratein Puri Hoti Hai..!

Kuch Sahi To Kuch Kharab Kehte Hain
Log Hume Bigda Hua Nawaab Kehte Hain
Hum To Badnaam Hue Kuchh Is Kadar
Ki Pani Bhi Piye To Log Sharaab Kehte Hai…!