Sath dene ka wada kiya tha,
shikwa sehne ka wada kiya tha,
Agar wo hamare bina khush hai to ye hi sahi,
Kyunki humne to unhe sada khush rakhne ka wada kiya tha.
Tag: lonely
Tanhai Shayari – Apna to yeh soch ke
Apna toh ye soch kar waqt guzar jata hai,
Kyon door jane ke liye koi kareeb aata hai.?
Woh jaane kaise apne dil se mujhe bhoola baitha,
Main gar bhoolna chaahun toh bhoola bhi yaad aata hai.
Tab nikharti hai kahin zindagi ki asli soorat,
Ashq jab aap ke daaman pe bikhar jata hai.
Tadap tadap ke tujhe ta’umar yaad karta rahun,
Kuchh aur de na zakhm toh bhar jata hai.
Yun toh main khud bhi tujh par tawajoh nahin deta,
Mera zehan hai ki har baar udhar jata hai.
Beshaq bahaar sooni sooni si lagti hai,
Bulbul ke chale jane se kya baagh ujad jata hai. !!
Lonely Shayari – Tum bim bahut akele hain hum
Milne ki khushi hai ya bichhadne ka gum,
Ankhon mein aansu hai ya udas hai hum,
Kaise kahain ki kaise hain hum,
Bas itna samajh lena ki tum bin bohut akele hai hum,
Bewafa Shayari – Duniya ki bheed mein tanha
Usne Mujhe Apni Bewafai Ka Sabut De Diya,
Mujhe Meri Khushiyo Ki Judai Ka Sabut De Diya,
Usne Dikha Diya Ishq-E-Wafa Ka Anjaam Kya Hota Hai,
Mujhe Duniya Ki Bheed Mein Meri Tanhai Ka Sabut De Diya.