Koi Manzil Nahi Jachti,
Safar Achcha Nahi Lagta…
Agar Ghar Laut Bhi Aaun To Ghar Achcha Nahi Lagta…
Karun Kuch Bhi Mai Ab Duniya Ko Sab Achcha Hi Lagta Hai,
Mujhe Kuch Bhi Tumhare Bin Magar Achcha Nahi Lagta.
Tag: Kumar Vishwas Poems
Few Lines By Kumar Vishwas
Har ek nadiya ke hoto pe samandar ka taraana hai,
Yaha farhaad ke aage sada koi bahana hai…!
Wahi baatein purani thi, wahi kissa purana hai,
Tumhare aur mere bich me phir se jamana hai…!!
Kalam ko khhon me khud ke dubota hoon to hangama,
Girebaan apnaa aansu me bhingota hoon to hangama,
Nahi mujh par bhi jo khud ki khabar wo hai jamane par,
Main hansta hoon to hangama, main rota hoon to hangama.
Pagal Ladki by Kumar Vishwas
Amawas Ki Kaali Raaton Mein Dil Ka Darwaja Khulta Hai,
Jab Dard Ki Pyaali Raaton Mein Gum Ansoon Ke Sang Hote Hain,
Jab Pichwade Ke Kamre Mein Hum Nipat Akele Hote Hain,
Jab Ghadiyan Tik-Tik Chalti Hain, Sab Sote Hain, Hum Rote Hain,
Jab Baar Baar Dohrane Se Saari Yaadein Chuk Jaati Hain,
Jab Unch-Neech Samjhane Mein Mathe Ki Nas Dukh Jaati Hain,
Tab Ek Pagli Ladki Ke Bin Jeena Gaddari Lagta Hai,
Aur Us Pagli Ladki Ke Bin Marna Bhi Bhari Lagta Hai.
Jab Pothe Khali Hote Hain, Jab Har Sawali Hote Hain,
Jab Gazlen Raas Nahin Aatin, Afsane Gaali Hote Hain.
Jab Baasi Feeki Dhoop Sametein Din Jaldi Dhal Jaata Hai,
Jab Suraj Ka Laskhar Chhat Se Galiyon Mein Der Se Jaata Hai,
Jab Jaldi Ghar Jaane Ki Ichha Mann Hi Mann Ghut Jaati Hai,
Jab College Se Ghar Laane Waali Pahli Bus Chhut Jaati Hai,
Jab Beman Se Khaana Khaane Par Maa Gussa Ho Jaati Hai,
Jab Lakh Mana Karne Par Bhi Paaro Padhne Aa Jaati Hai,
Jab Apna Har Manchaha Kaam Koi Lachari Lagta Hai,
Tab Ek Pagli Ladki Ke Bin Jeena Gaddari Lagta Hai,
Aur Us Pagli Ladki Ke Bin Marna Bhi Bhari Lagta Hai.
Jab Kamre Mein Sannate Ki Awaj Sunai Deti Hai,
Jab Darpan Mein Aankhon Ke Neeche Jhai Dikhai Deti Hai,
Jab Badki Bhabhi Kahti Hain, Kuchh Sehat Ka Bhi Dhyan Karo,
Kya Likhte Ho Dinbhar, Kuchh Sapnon Ka Bhi Samman Karo,
Jab Baba Waali Baithak Mein Kuchh Rishte Waale Aate Hain,
Jab Baba Humein Bulate Hain, Hum Jaate Hain, Ghabrate Hain,
Jab Saari Pahne Ek Ladki Ka Ek Photo Laya Jaata Hai,
Jab Bhabhi Humein Manati Hain, Photo Dikhlaya Jaata Hai,
Jab Saare Ghar Ka Samjhana Humko Fankari Lagta Hai,
Tab Ek Pagli Ladki Ke Bin Jeena Gaddari Lagta Hai,
Aur Us Pagli Ladki Ke Bin Marna Bhi Bhari Lagta Hai.
Didi Kahti Hain Us Pagli Ladki Ki Kuchh Aukat Nahin,
Uske Dil Mein Bhaiya Tere Jaise Pyare Jasbat Nahin,
Woh Pagli Ladki Nau Din Mere Liye Bhooki Rahti Hai,
Chup-Chup Saare Vrat Karti Hai, Par Mujhse Kabhi Na Kahti Hai,
Jo Pagli Ladki Kahti Hai, Main Pyar Tumhi Se Karti Hoon,
Lekin Mein Hoon Majboor Bahut, Amma-Baba Se Darti Hoon,
Us Pagli Ladki Par Apna Kuchh Adhikar Nahin Baba,
Yeh Katha-Kahani Kisse Hain, Kuchh Bhi To Saar Nahin Baba,
Bas Us Pagli Ladki Ke Sang Jeena Fulwari Lagta Hai,
Aur Us Pagli Ladki Ke Bin Marna Bhi Bhari Lagta Hai
Best Of Kumar Vishwas
Sada To Dhoop Ke Hatho Me Parcham Nahi Hota,
Khushi Ke Ghar Me Bhi Bolo Kabhi Kya Gam Nahi Hota?
Fakat Ek Aadmi Ke Waste Jag Chhodne Walo,
Fakat Uss Aadmi Se Yeh Zamana Kam Nahi Hota.
Dil Shayari by Kumar Vishwas
Tumhein pe marta hai ye dil, adavat kyun nahin karta?
Kayi janmo se bandi hai, bagawat kyun nahin karta?
Kabhi tumse thi jo, wo hi shikayat hai jamane se
Meri tareef karta hai, mohabbat kyun nahin karta?
Kumar Vishwas Shayari
Gireban Chaak Karna Kya Hai Seena Bahut Mushqil Hai
Har Ik Pal Muskura Kar Ashq Peena Aur Mushqil Hai
Humari Bad Naseebi Ne Humein itna Sikhaya Hai
Kise Ke Ishq Mein Marne Se Jeena Aur Mushqil Hai