Ek mehfil mein do taqdeeron ka karaar kho gaya,
Na chahte huye bhi ishq ko husn ka deedar ho gaya,
Is kadar shama se parwane par vaar ho gaya,
Usi pal shola shabnam par nisar ho gaya.
Tag: Kismat
Bewafa Shayari – Mere muqaddar mein
Ho Sake To Tum Mujhe Maf Kar Dena
Mere Muqaddar Mein Apni Dua Kar Dena
Socho To Bahut Taqlif Di Hai Tumhe
Par Mere Dil Ki Tum Dawa Kar Dena
Meri Bewafai Ki Yahi Saza Hai Kafi
Ki Apne Ansooho Ko Meri Saza Kar Dena
Anand – Movie Shayari
Jeene ki aarzoo main mare jaa rahe hain log,
marne ki aarzoo main jiye jaa rahaa hun main
Zindagi aur maut upar wale ke haath hain jahapanah,
use naa aap badal sakte hain na main,
Hum sab toh rang-manch kee katputliya hain,
jinki dor uparwale ki ungliyon mein bandhi hain
Kab kaun kaise uthega, koi nahi bata sakta.
Dosti Shayari – Aap jaisa dost
Jo roz karo use aadat kehte hain
Jo zaroor karna pade use fitrat kehte hain
Jis ke naseeb mein aap jaisa dost ho
Use sab log khush kismat kehte hain…
Hindi Ghazals – Zindagi tera irada
Zindagi Aur Bata Tera Irada Kya Hai?
Ek Hasrat thi ki Aanchal ka Mujhe Pyar mile
Maine Manzil ko Talasha, Mujhe Bazaar mile
Zindagi Aur Bata Tera Iraada Kya Hai?
Jo bhi Taqdeer banata hoon, Bigad jaati hai
Dekhte Dekhte Dunya hi Ujad jaati hai
Meri Kashti, Tera Toofaan se Wada kya hai
Zindagi Aur Bata Tera Iraada Kya Hai?
Tu ne jo Dard diya, uski kasam khata hoon
Itna zyaada hai ke, Ehsaas daba jata hoon
Meri Taqdeer bata, Aur Takaaza kya hai?
Zindagi Aur Bata Tera Iraada Kya Hai?
Maine Jazbaat ke Sang khelte Daulat dekhi
Apni Aankhon se Mohabbat ki Tijaarat dekhi
Aisi Duniya mein Mere waaste rakha kya hai?
Zindagi Aur Bata Tera Iraada Kya Hai?
Aadmi chahe to Taqdeer badal sakta hai
Poori Duniya ki wo Tasveer badal sakta hai
Aadmi soch to le, uska Iraada kya hai?
Zindagi Aur Bata Tera Iraada Kya Hai?
Ek Hasrat thi ki Aanchal ka Mujhe Pyaar mile
Maine Manzil ko Talasha, Mujhe Bazaar mile
Zindagi Aur Bata Tera Iraada Kya Hai?
Best Whatsapp Shayari
HO MERE PYAR KI UMAR ITNI LAMBI SANAM
TERE NAAM PE SHURU TERE NAAM PE KHATAM
WOH CHAAND HI KYUN NIKALA JISE DOOB JANA THA
HUM MILEY HI KYUN JAB BICHHAD JAANA THA
WOH DIL HI NAHI JO DUA NA KARE
MAY TUJHE BHOOL JAUN KHUDHA NA KARE
ROSHNI CHAAND SE HOTI HAI SITARON SE NAHI
MOHABBAT EK SE HOTI HAI HAZARON SE NAHI
BULBUL KI CHONCH MAY DAANA ANGOOR KA
HUM MILNAY TOH AA JATE MAGAR RASTA HAI DOOR KA
MERI KISMAT MAY KHUSHIYON KA SITARA HI NAHI
MUSKURA DO KABHI KUDRAT KO GAWARA HI NAHI
MERE DIL KE TUKDE DIL SE JUDA NA HONA
DUNIYA BADI ZAALIM HAI TUM BEWAFA NA HONA
MERE DILKE STATION PE GUMO KI RAIL JAARI HAI
NAA JEETI HU NA MARTI HU
AJEEB ZINDAGI HUMAARI HAI.