Sada To Dhoop Ke Hatho Me Parcham Nahi Hota,
Khushi Ke Ghar Me Bhi Bolo Kabhi Kya Gam Nahi Hota?
Fakat Ek Aadmi Ke Waste Jag Chhodne Walo,
Fakat Uss Aadmi Se Yeh Zamana Kam Nahi Hota.
Tag: Khushi
Saraswatichandra – Serial Shayari
1.Chahe laakh chhup tu mujhse
Chahe kitney bhi karle jatan
Pehchaan lunga mai tumhe
Tumhaare us kamarband ki meethi jhankar se
Mujhe aaj bhi yaad hai , maa ki paayal ki wo chhan chhan
Aur yaad hai tumhaare kamar se latakti wo ghonghroon ki ladi
Pahli baar unki awaaz suni to laga jaise barson se jaanta hoon tumhe
Ek ehsaas hua jaise ajnabi nahi hain hum
Shaayad shaayad koi to rishta hai tumhara mujhse
Kuch bhi naa sahi to kum se kum us meethi jhankaar ka to hai
Jo tumhaare chham se aa jane ka ehsaas dilaati hai
Tumhare aas pass hone ka abhaas karaati hai
2.Aapki judai bhi humein pyar karti hai
Aapki yaad bahut bekrar karti hai
Jaate jaate kahi bhi mulakat ho jaye aapse
3.Rab se aap ki khushi maangte hain,
duaon mein aapki hasi maangte hain,
sochte hai aapse kya maange,
chalo aap se umar bhar ki mohabbat maangte hain…
4.Har Sham Se Tera Izhaar Kiya Karte Hai,
Har Khwab Me Tera Didar Kiya Karte Hai,
Diwane Hi To Hai Hum Tere,
Jo Har Waqt Tere Milne Ka Intzaar Kiya Karte hai
5.Bin tere sajna guzaara nahi hoga,
Koi itna duniya mein pyaara nahi hoga,
Dilon ke saudaagar toh milne ke liye betaab hain,
Magar yeh aankhon ka sauda dobara nahi hoga.
6.Aankh Micholi Khel Rahe ho Tum bhi,
Khel Rahu hu mein bhi
Jagti hu to chup jate ho,
Soti hu to sapne mein aate ho
Ab tumhe khud aana hoga,
Is sab ka matlab sam jana hoga
7.Ghaav diye jo dikha nahi skati.
Aasu diye jo baha nahi sakti.
Tumse pyaar karne ki saza mili hai.
Kya ye saza thodi kam nahi ho sakti?
Romantic Sms – Aankhon ne aankhon se
Aankho ne aankho se kya keh diya,
Dil ko dhadkne ka kaam de diya,
Kuch bhi kaho ae yaro ise ,
Khuda ne ise mohabbat ka naam de diya…
Friendship – Tum Muskurate rehna
Dost samjhte ho to dosti nibhate rehna,
Hume bhi yaad karna, khud bhi yaad aate rehna.
Meri to khushi doston se hi hai,
Main khush hun ya nahi,tum muskurate rehna.