Unki Duaon Se Hume Wo Sahara Mila..
Jo Milta Nahi Kisi Ko Wo Kinara Mila..
Kin Lafzon Mein Hum Bayaan Kare Unki Ehmiyat..
Jaane Kitno Ki Bheed Mein Koi Itna Pyara Mila..!
Tag: Khuda
Gila-e-Zindagi Shayari for WhatsApp Stataus
1. Khud Se Mujhe Jo Hai, Wo Gila kis se Main Karun..
Mujh ko Manaye Kaun, Ki Khud se Khafa Hun Main.
2. Pata nahi aur kis kis ka ho gaya wo shakhs….!!
Jo kabhi mera hone ka dawa karta tha….!!
3. Kisi Ki Yaadon sa agar zindagi Guzar Jati ..
To kabhi tujhse milne ki main dua na karta…
Some New Shayari for WhatsApp Status
1. Jee bahut chaahta hai sach bolen,
kya karen hausala nahin hota …
2. Mujhe lamha bhi saal lagta hai,
Tum ne saalon pe taal rakha hai …
3. Khuda aise ehsaas ka naam hai,
rahe saamne aur dikhaai na de
4. Main khuda ka naam le kar pee raha hun dosto ,
zehar bhi iss mein agar hoga dawaa ho jaayega. !!
Wah Wah Kya Baat Hai Shayari
Aankh meri fir sajal hone ko hai,
Lag raha hai ek ghazal hone ko hai.
Fir nazar meri taral hone ko hai,
Fir mera dushman safal hone ko hai.
Aaj fir gum ki pahal hone ko hai,
Dard ka dil mein dakhal hone ko hai,
Maut ka vada amal hone ko hai,
Umar puri aajkal hone ko hai,
Neend mein sabki khalal hone ko hai,
Ek kali khilkar kamal hone ko hai,
Aaj har mushkil saral hone ko hai,
Aaj Allah ka fazal hone ko hai.
Anand – Movie Shayari
Jeene ki aarzoo main mare jaa rahe hain log,
marne ki aarzoo main jiye jaa rahaa hun main
Zindagi aur maut upar wale ke haath hain jahapanah,
use naa aap badal sakte hain na main,
Hum sab toh rang-manch kee katputliya hain,
jinki dor uparwale ki ungliyon mein bandhi hain
Kab kaun kaise uthega, koi nahi bata sakta.
Bewafa Shayari – Ehsaas use bhi hoga
Ehsaas use bhi hoga ek din apni jafa ka
Rula dega use ek din khayal meri wafa ka
Usne insaan sa sulook bhi na kiya mujhse
Jis insaan ko maine darja diya khuda ka…