Javed Akhtar Shayari

Ik baat honton tak hai jo aayi nahin
Bas ankhon say hai jhaankti
Tumse kabhi, mujhse kabhi
Kuch lafz hain woh maangti
Jinko pehanke honton tak aa jaaye woh
Aawaaz ki baahon mein baahein daalke ithlaye woh
Lekin jo yeh ik baat hai
Ahsas hi ahsas hai

Khushboo si hai jaise hawa mein tairti
Khushboo jo be-aawaaz hai
Jiska pata tumko bhi hai
Jiski khabar mujhko bhi hai
Duniya se bhi chupta nahin
Yeh jaane kaisa raaz hai

Dil ko Chhu gaye- Javed Akhtar Sahab

1. Raat Sar Per Hai Aur Safar Baaki
Humko Chalna Zara Savere Tha

2. Sab Hawayein Le Gaya Mere Samander Ki Koi
Aur Mujhko Ek Kashti Baadbaani De Gaya

Read: Zindagi Na Milegi Dobara Dialogues

3. Pehle Bhi Kuch Logon Ne Joun Bo Kar Genhoo Chaha Tha
Hum Bhi Umeed Mein Hain Lekin Kab Aisa Hota Hai

4. Ai Safar Itna Bekaar To Na Ja
Na Ho Manzil, Kahin To Pahuncha De

5. Kam Se Kam Usko Dekh Lete The
Ab Ke Sailaab Mein Vo Pull Bhi Gya

Best Lines by Javed akhtar

Jab-Jab Dard Ka Baadal Chaya
Jab Gham Ka Saya Lehraya
Jab Aansoo Palkon Tak Aya
Jab Yeh Tanha Dil Ghabraya
Humne Dil Ko Yeh Samjhaya
Dil Aakhir Tu Kyun Rota Hai

Duniya Mein Yunhi Hota Hai
Yeh Jo Gehre Sannaate Hain
Waqt Ne Sabko Hi Baante Hain
Thoda Gham Hai Sabka Kissa
Thodi Dhoop Hai Sabka Hissa
Aankh Teri Bekaar Hi Nam Hai
Har Pal Ek Naya Mausam Hai
Kyun Tu Aise Pal Khota Hai
Dil Aakhir Tu Kyun Rota Hai

Few Heart Touching lines by Javed Akhtar

hindi shayari
1. Humko Uthna To Munh Andhere Tha
Lekin Ik Khwab Humko Ghere Tha

2. Khush-Shakal Bhi Hai Vo, Ye Alag Baat Hai, Magar
Humko Jaheen Log Hamesha Ajeej The

3. Kaun Sa Sher Sunayun Main Tumhe, Sochta Hun
Nya Uljha Hai Bahut Aur Purana Mushkil

Read: Dil ko Chhu Gaye Javed Akhtar Sahab

4. Gin-Gin Ke Sikke Hath Mera Khurdura Hua
Jaati Rhi Vo Spars Ki Narmi, Bura Hua.

5. Unchi Imaaraton Se Makaan Mera Ghir Gya
Kuch Log Mere Hisse Ka Suraj Bhi Kha Gye

Breathtaking Poems By Javed Akhtar

Javed-Akhtar_1
A thing that still hasn’t come up to my lips and only peeks through my eyes,
It asks for words, sometimes from me and sometimes from you,
So that it can wear those words and come to the lips,
And so that it could be embraced by words..

But this thing is actually a feeling…only a feeling,
It’s like a fragrance floating in the air,

Fragrance, which has no voice…and about which you know and I know too.
It is not hidden from the world, what kind of a secret it is?