Sidhu Shayari for Akshay Kumar and Imran Khan in Comedy Nights

sidhu-shayari-akshay-kumar-comedy nightsHuzoorewala (for Akshay Kumar)
Shero ke aage bhede kya hain
Ik madmata khajaa hai
Baaki saari duniya prajaa,
Sher akela raaja hai!

Then for the movie Once Upon a Time in Mumbai Dobara
—————————————————-
ek baat pakki hai,
jis film mein imram aur akki hai,
us film ka hit hona nakki hai

For Comedy Nights Show
———————-
iss show ka takiya kalam hain
yaha koi aawat hain, koi jawAT hain
jo khul ke saamne aaye
wahi mallika sherwat ha

Read: Funny Shayari for Palak (Engine Sa Badan)

Sidhu Shayari for Mika Singh and Kapil in Comedy Nights

sidhu shayari in Comedy Nights with Kapil Sharma Mika singhAngoor Pighalta hai, to sharaab ho jaati hai
Chingari bhadkti hai to aaftaab ho jaati hai
Jab sunta hun zamaane mein naam Mikke ka
To Siddhu ki Chhati phool ke Punjab ho jaati hai

Jo dil mein aaye, yeh banda bechhoot karta hai
Prem ke hathiyar se dilo pe loot karta hai
Ise dekh kar kaha hai Bachchan sahab ne
Chumma chumma wala gaana Mika pe suit karta hai

For Kapil Sharma

Raag bajta hai, Rang bajta hai
Pyaar ka ang ang bajta hai
Tum jab gaate ho comedy king Kapil
Aisa lagta hai ki Ruh ka jal tarang bajta hai

Sidhu Shayari for SRK and Himself in Comedy Nights

srk-sidhu-shayari-comedy-nights-kapilFor Shah Rukh Khan

Suraj hoon zindagi ki chamak chhod jaunga
Phir laut aane ki khanak chhod jaunga
Main sabki aankho se aansu sametkar
Sabke dilo mein apni jhalak chhod jaunga

On Discussion of Shahrukh with Kapil regarding buying Sidhu

Paani ki boond kahin tikti nahin
aur imaandari mujhe kahin dikhti nahin
Khariddaaro ki mandi mein khada hai siddhu
Jitni marzi boli laga,
Kuchh cheezein aisi hai jo bikti nahin!

Sidhu Shayari for Tina Dutta & Avika Gor in Comedy Nights

Avika Gor from Sasural Simar ka (Roli) and Tina Dutta from Uttaran (Meethi) came to Comedy Nights.

Roli-and-Meethi-Sidhu-Shayari-comedy-nights

Chali jaati hai aaye din wo, beauty parlour mein yun
Unka maksad hai, misaal-e-hoor ho jaana
Magar yeh baat, kisi begum ke samjh mein kyun nahin aati
Ki Mumkin nahin hai, Kismis ka phir se Angoor ho jaana

Raag bajta hai, Rang bajta hai
Pyaar ka ang ang bajta hai
Aap jab hansti hain huzurewala janab-e-aali
Aisa lagta hai ki Ruh ka jal tarang bajta hai