Sidhu Shayari for Akshay Kumar & Ronit Roy in Comedy Nights

-Akshay-Kumar-Ronit-Roy-And-Navjot-Singh-Sidhu-on-Comedy-Nights-with-Kapil
Uske saath yaari kabhi na lagaiye,
jise apne upar guroor hoye,
Maa Baap ko bura kabhi na kahiye,
Chahe laakh unka kusoor hoye,
Bure raste kabhi na jayiye,
Chahe manzil kitni bhi door hoye,
Bull-e-shah..
Mohabbat hamesha wahan lagaiye,
jahan pyaar nibhane ka dastoor hoye.

Jo baras jaye, jo baras jaye,
Wahin badal ache hain,
Jo nigahon ko sajade,
Wahin Kajal sache hain,
Sayano ne is kadar barbaad kar di hai yeh duniya,
Hume pagal hi rehne do, hum pagal hi ache hain.

For Sidhu Paaji..

Woh kya hai sirji,
Hamari sau baat aapki ek baat,
Hum kuch bhi kehle,
Aapke samne bacche hain.

By Sidhu
Mit gaya jab mitne wala,
Phir salam aaya to kya,
Dil ki barbaadi ke baad,
Unka payaam aaya to kya.

Ant ki baat karna yaaron, gustakhi hai,
Hansi ke jaam pilane ko betaab sare sakhi hain,
Ab tak jo hua sirf ek trailor tha,
Kapil ka asli jalwa to guru abhi baki

Sidhu Shayari for Kangana in Comedy Nights

sidhu-kangna-shayari-comedy-nights
Buzdil musibaton ke aage bikhar jata hai,
Andheron ke aage saya bhi thahar jata hai,
Mere haunsle ka imtihaan lene walon,
Aag mein jalkar sona,
Kala nahi hota, aur bhi nikhar jata hai.

GURU..
Surkhuru hota hai insaan,
Aafatein aane ke baad,
Rang lati hai heena,
Pathar pe piss jane baad.

Chandni ka kya hai, yeh to dhalti rahegi,
Shama ka kaya hai, yeh to pighalti rahegi,
Abhi to mehfil ka aaghaz hua hai yaaron,
Yeh shaam apne shabaab tak chalti rahegi.

For Kangana

Ban ke gul wo chaman ko mehkane aayi hai,
Hoke nasha wo fizaon ko behkane aayi hai,
Naujawano zara dil ko tham ke rakhana,
Kangana banke Rajjo dil ko churane aayi hai.

By audience

Shama bujhkar bhi jal sakti hai,
Kashti ehle toofan se nikal sakti hai,
Mayoos na karo apne iraadon ko,
Kismat kisi bhi waqt badal sakti hai.

Sidhu Shayari for Javed Jaffrey & Soha Ali Khan in Comedy Nights

Singh-Sidhu with javed and soha in comedy nights

Shayari by audience

Munni ho ya sheela,
Pinki ho ya babli badmash,
Sab ho jao meri,
Nahi karunga kisi ki nirash.

Shayari by junior sidhu

Oh Guru..
Chak de phatte, Rab di gilli,
Subah ko school, shaam ko mili chhutti.

Jab se paida hua hun badi aish ki hai,
Naam tera chidiya, body teri bhains ki hai.

Rut badli, badle mausam,
Badal gayi satta..
Array sab kuch badal gaya tu kutte ka kutta hi raha !!

Shayari by Sidhu

Khoon ka dariya zara mod na yaar,
Mohaabat se dilon ko jod na yr,
Keh rahe hai Soha aur Javed,
Ab to war chhod na yaar.

Sidhu Shayari for Sunidhi Chauhan in Comedy Nights

sidhu shayari for sunidhi in Comedy-Night-With-Kapil

Bulandiyon pe hai comedy nights with Kapil,
Mano keh raha ho..
Chhule aasma tu, zameen ki talash na kar,
Jee le zindagi tu, khushi ki talash na kar,
Zindagi badal jayegi teri ae dost,
Muskurana seekhle , wajah ki talash na kar..

Police walon ki shaan mein..

Desh ke liye kuch karna hai, yeh thaan ke khada hai,
Bandookon ke aage yaaron seena taan ke khada hai,
Sookun se sota hai parivar yeh koi soch ke,
Gali mein koi policewala mujhe apna maan ke khada hai.

For Sunidhi Chauhan

Wo sabz pari husn-e-bedaag hai,
Wo awaaz ki duniya ka roshan chirag hai,
Dekhan aaj mehfil mein aag lagegi,
Kyunki suna hai sunidhi ke jigar mein badi aag hai..

Sidhu Shayari for Ranbir Kapoor & Pallavi Sharda

sidhu shayari with ranbir kapoor in comedy nights
Hansi ki ek aur sham,Hindustan ke naam

Zindagi mein kabhi koi gul khila ke to dekho,
Sade pani mein rang milak to dekho,
Gum ki badli agar chhat jaye na to kehna,
Aaj ke roz hamare sath khilkhilake to dekho..

Kabhi ullu ko raat ko sote hue dekha hai,
Kabhi sabun se machhliyon ko nahate dhote hue dekha hai,
Array wo aadat kaisi jo aadat badal jaye,
Kisi kutte ki dum ko sidhe hot hue dekha hai..

Jo dil se dua to bikhari ameer hai,
Moti na de sake to samundar fakir hai,
Deta rahega sare andheron ko roshni,
Jab tak tere wajood mein roshan zammen hai.