Aaj kal Roads itni kharab hai ki..
Jab koi aadmi apni lugai ko bithakar le jata hai ,
To wo aage nahi dekhta, pichhe dekhta hai,
Reh gayi ki dheh gayi..
Sayane ka kaha, Aule ka khaya
Baad mein pata chalta hai
Aaj kal Roads itni kharab hai ki..
Jab koi aadmi apni lugai ko bithakar le jata hai ,
To wo aage nahi dekhta, pichhe dekhta hai,
Reh gayi ki dheh gayi..
Sayane ka kaha, Aule ka khaya
Baad mein pata chalta hai
By Kapil
Sair kar duniya ki Gaafil,
Yeh zindagani fir kahan,
Zindagani agar reh bhi gayi,
Yeh naujawani fir kahan..
By Sidhu
Hume bhi ghumao, ek din biwi ka farman aa gaya,
Humne bhi samajh liya kharche ka saman aa gaya,
Humne bhi uthaya naksha, aur kaha,
Yeh dekho London, Vo America aur vo dekho,
Japan aa gaya..
Aasma ke chahe sitare badalwalo,
Dil mein ek shola sa jalalo,
Kya khub kaha hai Arshad ne Soha ke liye,
Dil dedo bus, badle mein chahe jo bhi karwalo
Kawalli on mehangayi by Kapil
Jiye janwar ki tarah , hum jaise
Mehangayi kha gayi dekhlo sare paise,
Mehangayi badhti rahi to ek din aia aayega,
Pyaaz, tamatar khana wala raja ji kehalayega,
Aam aadmi dheere dheere bhukha hi reh jayega,
Reh jayega, reh jayega, reh jayega.
Aajkal tamatar bus Tata, Birla khate hai,
Sunke bhav sabzi ke heart attack aate hain,
Gas nahi milti hai chulha jalane ko,
Bank nahi deta loan rashan bharaneko,
Sab kiya karaya hai khadi wardi walon ne,
Apna maal swiss bank mein rakha hai dalalon ne,
Leke vote public se mantri jo banta hai,
Usko dhundti rehti baad mein yeh janta hai,
Netaon ki….
Netaon ki chalti rahi to Desh mera bik jayega,
Hans chugega dane, moti ullu khayega,
Tere mere hath mein babaji ka thullu aayega,
Tere mere hath mein babaji ka thullu aayega,
Tere mere hath mein babaji ka thullu aayega,
Thullu aayega, thullu aayega, thullu aayega.
Sidhu shayari for Sania
Aasman ki oonchai tak parwaz kar sakti hai,
Apne dum pe wo duniya pe raaj kar sakti hai,
Beton ki chahat rakhne walon ko,
Sania ne bataya hai,
Peediyan betiyon pe bhi naaz kar sakti hain.
By Palak
Ya tu mujhko dhokha dede , ya meri nazron se girja,
Ya tu mujhko dhokha dede , ya meri nazron se girja
Chai ke liye dudh nahi hai, bole kisko sania mirza.
By Sania
Main ayi hun aapke ghar,Main ayi hun aapke ghar
Phul khilen hain gulshan gulshan,
Aise padosi ghar mein aake khtam kar dete hain rashan,
Itni moti tennis player, shakal se lagti hai yeh ullu,
Aao Kapil hum Palak ko de de,
Babaji ka do – teen thullu.
Wo dil hai, jigar hai, aatma hai, mann hai,
Zamane ko khush karne ka uske pass fun hai,
Govina ke baare mein itna hi kahunga doston,
Wo kal bhi no.1 tha wo aaj bhi no.1 hai.
By Palak
Aap ko dekhke mere dil mein baj rahi baj rahi hai pyar ki beat,
Chandi ki cycle, sone ki seat, aao chale darling chalein double seat.
Parindo ko manzil milegi hamesha,
Yeh phaile hue unkhe pankh bolte hain,
Wahi log rehte hain khamosh aksar,
Zamane mein unke hunar bolte hain.
Duniya ka yahi hai dastoor,
Lovers rehte hain dur dur,
Mauka mila hai, fayeda uthale,
Banale mujhe apni hoor,
Take me on a world tour,
Effil tower par jakar kahungi,
I love Shahid kapoor
I love Shahid kapoor
By Palak
Mera dil mere husn ki tarah hai pavitra,
Bilkul bhi nahi hai maila,
Mukkalla, Mukbala, Laila
Mukkalla, Mukbala, Laila.
Ishq ki duniya se ishq jyada aaya hai,
Lekar dil mein irada pakka aaya hai,
Saif tum lakh ban jayo Bullet Raja,
Hamare liye to nawabon ki duniya se shehzada aaya hai.