Gum-e-Zindagi ke sitamvaar bahut hain…
Ranj-o-Mayusi ke deedar bahut hain…
Himmat-e-Insaan ke aage kya nahi mumkin…
Mana ke Sikast-o-Haar ke aasaar bahut hain..!!
Category: Sad Shayari
Hindi Bewafa Sad Shayari – Usne Dil se Khela
Khel ko uske samajh na sake hum,
Aur wafaien uspe nisaar kar baithe,
Maqtool bhi hum maqsood bhi hum sacche hue,
Wo aur hame beviqaar kar baithe.
Aankhen Shayari – Banke aansu meri aankhon mein
Lafzon ki tarah mujhe kitaabon mein milna,
Tu banke mehak mujhe gulaabon mein milna,
Jab bhi mujhe teri yaad aaye,
To banke aansu meri ankhon mein milna
Intezaar Shayari – Naseeb mein likha intezaar
Nazar chahti hai didaar karna,
dil chahta hai pyaar karna,
kya batayein is dil ka aalam,
naseeb mein likha hai intezar karna…
Lonely Shayari – Tanha Dil Ghabraya
Tanhaa Dil ghabraya
Yun aasun ko palkhon pe le laya
Na samaj saka na koi mere is dard ko
Bas Asmanjas mein khudi ko khud mein paya
Qayanat ka saara kaisa yeh khel hain
Is jahaan ke saath naa koi taal mail hain
Rab hi jhoota
Dil yeh toota
Jab apno se apna rishtaa yun hin choothaa
Seenchta chala gaya
Kuch Keenchta chala gaya
Rishton ki dor yun hi bhikharta chala gaya
Aye Khushnuma Zindagi hain zaroorat ab mujhko teri
Na jaane tu bhi is pal gumshuda sa ho gaya hain kahin
gumshuda sa ho gaya hain kahin
gumshuda sa ho gaya hain kahin
Anand – Movie Shayari
Jeene ki aarzoo main mare jaa rahe hain log,
marne ki aarzoo main jiye jaa rahaa hun main
Zindagi aur maut upar wale ke haath hain jahapanah,
use naa aap badal sakte hain na main,
Hum sab toh rang-manch kee katputliya hain,
jinki dor uparwale ki ungliyon mein bandhi hain
Kab kaun kaise uthega, koi nahi bata sakta.