Sidhu Shayari For Raveena ke saath Yaariyan in Comedy Nights with Kapil

Comedy-Nights-With-Kapil-Raveena-ke-saath-Yaariyan
raveena in comedy nightsBy Kapil

Surya ko kabhi kabhi apni prakarma chhod deni chahiye,
Chand bhi glati kare to usko bhi 2-3 thok deni chahiye,
Kahat Sidhu suno bhai mohatarma..
Jab ati ho jaye to shayari kabhi kabhi chhod deni chahiye.

By Sidhu

Yodha kabhi yudh thanta nahi,
Sara sach zamanan janta nahi,
Koshish to karli maine sher na kehne ki,
Oh Guru..
Par yeh dil hai ki manta nahi.

Sabse badi cheez hoti hai shahidi khumari,
uske baad aati hai sardari,
Lekin sabse upar aati hai yaari,
Aur bhaad mein jaye duniya saari.

By Palak for Kapil

Hum jaise youngster karte hain yaariyan,
Hum jaise youngster karte hain yaariyan,

Aap jaise oldie karte hai gadhe ki sawariyan.
Aap jaise oldie karte hai gadhe ki sawariyan.

By audience

Jab husn benaqab hota hai to, lakhon ka hisaab hota hai.
Jinti niyat kharaab hoti hai unka khana kharaab hota hai.

By Palak for Raveena

Aap hi aap mujhe dikhti hain, dekhun main jidhar jidhar,
Mera dil le gayi oye kammo kidhar, main dhundu usko idhar udhar

Sidhu Shayari for Madhuri & Huma Qureshi in Comedy Nights with Kapil

Dedh-Ishqiya-Promotions-Comedy-Nights-With-Kapil-SetsBy Madhuri

Jo door rehkar ho, us pyar ka apna hi mazaa hai,
Kisi se aane se pehle intezaar ka apna hi mazaa hai.

By Sidhu

Husn ki duniya ka roshan jamaal hai,
Madhuri khuda ki karigari ka behtareen kamal hai,
Ab samjha, ab samjha kyun ho jati hain tumse dedh ishquiyan,
Dekha jo wahan yahan bhi dil ya wahi haal hai.

By Mahuri

Yun nazar se baat ki aur dil chura gaye,
Hum to samjhe the but, aap to dhadkan suna gaye.

By Kapil

Jinka kaam unhi ko saaje,
Kapil Sharma kare to bedagarg hi baaje

Jugalbandi between Madhuri and Sidhu

Madhuri
Lagta hai arsa ho gaya hai apni jaan pehchaan ko,
Pehle bhi kahin dekha hai is banke naujawan ko.

Sidhu
Mauka ko diya hota badhane ko us pehchaan ko,
Ab jaan ke kya faya jab le hi liya jaan ko.

Kapil
Sidhu paji control mein rakhiye apne imaan ko,
Sochiye kya hoga jab pata chal jayega bhabhijaan ko.

Sidhu
Mit gaya jab mitne wala to fir salaam aaya to kya,
Dil ki barbaadi ke baad unka payaam aaya to kya??

Sidhu Shayari for Arshad & Soha in Comedy nights with Kapil

Comedy-Nights-With-Kapil-Arshad-Soha
By Kapil

Sair kar duniya ki Gaafil,
Yeh zindagani fir kahan,
Zindagani agar reh bhi gayi,
Yeh naujawani fir kahan..

By Sidhu

Hume bhi ghumao, ek din biwi ka farman aa gaya,
Humne bhi samajh liya kharche ka saman aa gaya,
Humne bhi uthaya naksha, aur kaha,
Yeh dekho London, Vo America aur vo dekho,
Japan aa gaya..

Aasma ke chahe sitare badalwalo,
Dil mein ek shola sa jalalo,
Kya khub kaha hai Arshad ne Soha ke liye,
Dil dedo bus, badle mein chahe jo bhi karwalo

Sidhu Shayari for Sania Mirza in Comedy Nights with Kapil

Sania in comedu nights
Kawalli on mehangayi by Kapil

Jiye janwar ki tarah , hum jaise
Mehangayi kha gayi dekhlo sare paise,
Mehangayi badhti rahi to ek din aia aayega,
Pyaaz, tamatar khana wala raja ji kehalayega,
Aam aadmi dheere dheere bhukha hi reh jayega,
Reh jayega, reh jayega, reh jayega.
Aajkal tamatar bus Tata, Birla khate hai,
Sunke bhav sabzi ke heart attack aate hain,
Gas nahi milti hai chulha jalane ko,
Bank nahi deta loan rashan bharaneko,
Sab kiya karaya hai khadi wardi walon ne,
Apna maal swiss bank mein rakha hai dalalon ne,
Leke vote public se mantri jo banta hai,
Usko dhundti rehti baad mein yeh janta hai,
Netaon ki….
Netaon ki chalti rahi to Desh mera bik jayega,
Hans chugega dane, moti ullu khayega,
Tere mere hath mein babaji ka thullu aayega,
Tere mere hath mein babaji ka thullu aayega,
Tere mere hath mein babaji ka thullu aayega,
Thullu aayega, thullu aayega, thullu aayega.

Sidhu shayari for Sania

Aasman ki oonchai tak parwaz kar sakti hai,
Apne dum pe wo duniya pe raaj kar sakti hai,
Beton ki chahat rakhne walon ko,
Sania ne bataya hai,
Peediyan betiyon pe bhi naaz kar sakti hain.

By Palak

Ya tu mujhko dhokha dede , ya meri nazron se girja,
Ya tu mujhko dhokha dede , ya meri nazron se girja
Chai ke liye dudh nahi hai, bole kisko sania mirza.

By Sania

Main ayi hun aapke ghar,Main ayi hun aapke ghar
Phul khilen hain gulshan gulshan,
Aise padosi ghar mein aake khtam kar dete hain rashan,
Itni moti tennis player, shakal se lagti hai yeh ullu,
Aao Kapil hum Palak ko de de,
Babaji ka do – teen thullu.