Mohabbat Ki Kashti Mein Sawar The Hum,
Socha Tha Pahunch Jayege Chahat Ke Gaun Mein,
Dubne Lage To Hosh Aaya,
Hum To Baithe Hi The Kagaz Ki Naav Mein.
Category: Dard Bhari Shayari
shayari is a best way to express your feelings … so here we are with some latest dard, sad and life poetry .
Dard Bhari Shayari – Mohabbat Dhokha Hai
Mohbbat Ek Haqiqat nahi Dhokha Hai,
Is Mein Har Insan Rota Hai,
Kya Mila Yaaron Kisiko Pyar Karke,
Jisne Nahi Ki Mohabbat,
Woh Bhi Kisiki Dastan E Gham Sun Ke Rota Hai..
Dard Bhari Shayari – Khud Bane Nishana
Woh kareeb hi nahi aaye to izhar kya karte,
Khud bane nishana to shikar kya karte,
Mar gaye par khuli rahi aankhein,
Is se zyada kisi ka intezar kya karte..
Dard Bhari Shayari – Ishq-e-Bewafai
Ishq-a-bewafai ne daal di hai aadat buri,
Main bhi sharif hua karta tha is zamane mein,
Pehle din shuru karta tha masjid mein namaaz se,
Ab dhalti hai shaam sharab ke sath mehkhane mein.
Zindagi Shayari – Parwah Kaun Kare
Jaanedo meri kashti ko ab tufaan ki parwah kaun kare,
Ek din to hai jaana hi is jaan ki parwah kaun kare,
Ishq ki manzil pe aake kya dekhte ho aage peeche,
Hai kaam musaafir ka chalna saaman ki parwah koun kare..
Dard Bhari Shayari – Kya Rang Dikhaya Hai
Zindagi ne bhi kya rang dikhlaya hai,
Mohabbat usne ki thi saza humne paya hai,
Hum to jhumte hai uski yaadon mein,
Magar zamana kehta hai ki dekho aaj phir pikar aaya hai..