Zara Si Zindagi Hai Armaan Bahut Hain,
Hamdard Nahi Koi Insaan Bahut Hain,
Dil Ka Dard Sunaye To Sunaye KisKo,
Jo Dil Ke kareeb Hain Wo Anjan Bahut Hain..
Category: Dard Bhari Shayari
shayari is a best way to express your feelings … so here we are with some latest dard, sad and life poetry .
Dard Bhari Shayari – Teri Hasrat
Teri hasrat ka khwab bankar tujhme utar jaun,
Teri diwangi ka raaz bankar usme basar jaun,
Koi deewar na ho jis mein rehbaser ki,
Aise ghar ki dar-o-deewar main ban jaun..
Dard Bhari Shayari – Mitti Ke Ashiyana
Hum mitti ke ashiyane banate gaye,
Bana-bana ke unhe mitate gaye,
Hume to koi apna bana na saka,
Aur hum har kisi ko apna banate gaye..
Dard Bhari Shayari – Hazaron Ilzam
Duniya ko haqiqat meri pata kuch bhi nahi,
Ilzaam hazaron hain aur khata kuch bhi nahi,
Mere dil mein kya hai yeh padh na sakoge,
Sare panne bhare hain aur likha kuch bhi nahi..
Dard Bhari Shayari – Bedard Zindagi
Dard se dosti ho gayi yaaron,
Zindagi bedard ho gayi yaaron,
Kya hua jo jal gaya aashiyana hamara,
Door tak roshni to ho gayi yaaron..
Dard Bhari Shayari – Jate Jate Rula Gayi
Kya karta tujhse bat karke?
Muskurane se pehle hi rula gayi,
Kya kehke rokta tujhe,
Tu to jate jate mere gair hone ka ehsaas dila gayi..