Mujhe Dard-E-Ishq Ka Maza Maloom Hai,
Dard-De-Dil Ki Inteha Maloom Hai,
Zindagi Me Kabhi Muskurane Ki Dua Na Dena,
Mujhe Pal Bhar Muskurane Ki Saza Maloom Hai!
Category: Dard Bhari Shayari
shayari is a best way to express your feelings … so here we are with some latest dard, sad and life poetry .
Wo Khanjar Ajeeb Hai
Na yeh mehfil ajeeb hai, na manjar ajeeb hai,
Jo usne chalaya Wo khanjar ajeeb hai,
Na doobne deta hai, na oobharne deta hai,
Uski aakhon ka wo samandar ajeeb hai!!
Gunjati Shahnai Si Lagti Hai
Yaadon Ki Dhundh mein aapki Parchhai si lagti hai,
Kaanon mein gunjati Shahnai si lagti hai,
Aap Kareeb ho to apnapan hai,
Warna Seene mein, Saansein bhi Paraayi si lagti hai!
Yaaro ki Mehfil Aise Jamai Jati Hai – Nashili Shayari
Yaaro ki Mehfil Aise Jamai Jati Hai
Kholne se Pehle Botal Hilaayi Jati Hai
Fir Awaz Lgayi Jati Hai
Aa Jao Tute DiL Walo
Yaha Dard-E-DiL Ki Dawa Pilayi jati hai!
Jo Dard Hai Dil Me Use Kaise Sahe
Haal-e-dil ae dilbar hum tujhe kaise kahe,
Jo dard hai dil me use kaise sahe,
Rone se teri tasveer kahin mit na jaye par,
Jab dard hai dil me to ashk kaise na bahen.
Tujh Mein Basenge Hum
Teri saanso ki tarah tujhme basenge hum,
agar tu hui juda to kaise jiyenge hum,
har pal tere pas hone ke ahsas se jeete hain,
agar tu na mili to tujh bin marenge hum!