Fareb tha hansi mein aashiqui samajh baithe,
Maut ko hi apni zindagi samajh baithe,
Waqt ka mazak tha ya badnaseebi hamari,
Uski do baaton ko chaahat samajh baithe.
Category: Bewafa Shayari
Bewafa Shayari – Baki Kuch Nahi
Baki kuch nahi ab zamane mein,
Zindagi guzar rahi hai tujhe bhulane mein,
Ab kyun yaad aate ho itna dur jaane ke baad,
Shayad tu khush hai mujhe yun rulane mein..
Bewafa Shayari – Begane kahan jate
Na milta gam to barbaadi ke afasaane kahan jaate,
Duniya agar hoti chaman to wiraane kahan jaate,
Chalo acha hua apno mein koi gair to nikla,
Sabhi agar hote apne to begane kahan jaate..
Bewafa Shayari on Jaan Chali Jayegi
Wafa ke badle bewafai na diya karo,
Meri ummeed thukra kar inkar na kiya karo,
Teri mohabbat mein hum sab kuch kho baithe,
Jaan chali jayegi imtehan na liya karo..
Bewafa Shayari – Kis tarah bhula paoge
Sataogi mujhko rulaogi mujhko..
Par kis tarah bhula paogi mujhko..
Khuda jane kya haal hoga tera..
Jab gairo ki baahon mein paogi mujhko..
Bewafa Shayari – Mera pyar unke paas
Us roz dard-o-sitam ki raat hogi
Jis din darr se ruksat unki baraat hogi
Yeh soch kar aksar uth jata hun neend se
Ki kisi gair ki baahon mein meri kaynaat hogi.