Dil mera aaj bhi kyun lagta mujhe chhota bachcha,
Mujhko lagte sabhi sachche ya mera dil hai achcha.!
Main kisi mein bhi burai ko nahi padhti hun,
Usme achchai hai kitni or dil kitna sachcha.!
Koi bhi duniya mein achcha na bura hota hai,
Waqt halat bana dete hain jhuta sachcha.!
Har insan se insaniyat se pyar karo,
Wo ameer hai ya gareeb na dekho bachcha.!
Pyar sab se jo karoge to khushi paoge,
Har kisi ko jo lagaoge gale to he hai achcha.
Category: Inspirational Quotes
Inspirational Shayari – Change is the spice of life
Change is a nature of life
But challenge is a aim of life
So you have to challenge the changes
But not to change the challenges.
Motivational Shayari – Women’s Day
You can do almost anything you put your mind to …
You can swim the deepest ocean and climb the highest peak …
Be a doctor or fly a plane
You can face adversity and still walk tall.
You are strong, beautiful, compassionate and much more than words could ever say!
Today is yours, and so is ever other day…
Happy Women’s Day!
Gulaal – Movie Shayari
Gulaal version
Sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil me hai
Dekhna hai zor kitna bazu-e-kaatil me hai
Waqt aane pe bataadenge tujhe e aasmaan
Hum abhi se kya batayen kya hamare dil me hai
Oh re Bismil kaash aate aaj tum Hindustaan
Dekhte ki mulk saara kya tashan, kya thrill mein hai
Aaj ka launda yeh kehta hum to bismil thak gaye
Apni aazaadi to bhaiya laundiya ke til mein hai.
Aaj ke jalson me Bismil ek gunga gaa raha.
Aur behron ka wo rela naachta mehfil mein hai
Haath ki khadi banaane ka zamaana lag gaya
Aaj to chaddi bhi silti englison ki mill mein hai
Sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil me hai…
….kya batayen kya hamare dil me hai
Do Nyay agar to aadha do,
Par isme bhi yadi badha ho,
To dedo kewal paanch gram,
Rakho apni dharti tamam.
Inspirational Shayari – Maa tujhe salaam
Ek pedh jisne kabhi mujhe dhoop lagne na di,
Apne aanchal mein chupa ke rakha,
Nazar kisi ki lagne na di,
Yaad ate hai bachpan ke din jab tu mujhe khilati thi,
Har baar rone par tu hi mujhe hasati thi,
Acchi neend ke liye naajane kaha kaha se nayi loria,
Aur kahaniya lati thi, ro padhta hai yeh dil Jab Yaad unki aati hai.
Mummy Ne Yeh Baat Samajhai Nahi
Ye baat samajh me aayi nahi,
Aur mummy ne samajhai nahi.
Mai kaise mithi baat karu?
Jab mithi chiz koi khai nhi.
Ye chand kaise maamu hai?
Jab mumy ka wo bhai nahi.
Kyu lambe baal hai bhaalu ke?
Kyu usne treamming karai nahi.
Kya wo bi ganda bachha hai?
Ya jungle me koi naai nahi.
Nana ki biwi jab nani hai,
Dada ki biwi jab dadi hai.
Papa ki biwi kyon papi nahi?
Samundar ka rang kyu neela hai?
Jab neel kisi ne milai nahi.
Jab school me itni neend aati hai.
Toh kyu bed waha rakhwai nahi?
Ye baat samajh mein aayi nahi
Aur mummy ne samjhai nahi!!