I CHOOSE…..
to live by choice, not by chance;
to make changes, not excuses;
to be motivated, not manipulated;
to be useful, not used;
to excel, not compete;
I choose self-esteem, not self-pity.
I choose to listen to my inner voice,
not the random opinion of others
Category: Poems
Poem By harivansh Rai Bachchan For WhatsApp Status
Yaha sab kuch bikta hai..
Dosto rehna jara sambhal ke..
Bechne vale hawa bhi bech dete hai, gubbaro me bhar ke..
Sach bikta hai, jhut bikta hai, bikti hai har kahani..
Teen lok me faila hai, fir bhi bikta hai botal me pani!!!
Kabhi phoolon ki tarah mat jeena
jis din khiloge bikhar jaoge..
Jeena hai to patthar ban ke jeeyo..
kisi din tarashe gaye to khuda ban jaoge!!!
Harivansh Rai Bachachan – Koshish Karne Walo
Koshish Karne walo ki kabhi haar nahi hoti
Lahro se dar kar noka par nahi hoti
Kosis karne walo ki kabhi har nahi hoti
Nanhi chiti jab dana lekar chalti hai
Chadti divaro se so bar fisalti hai
Man ka visvas rago me sahas bhar deta hai
Gir kar chadhna chadkar girna isiliye na akhrta hai
Mehnat uski khali har bar nahi hoti
Kosis karne walo ki kabhi har nahi hoti
Dubkiyan sindhu me gotakhor lagate hain
Jakar khali hath lot aate hain
Milte na sahaj moti gahre pani me
Badhta duguna utsah isi herani me
muthi uski khale har bar nahi hoti
Mehnat karne walo ki kabhi har nahi hoti
Asafalta ek chunoti hai ise swikar karo
Kya kami rah gai hai dekho or sudhar karo
jab tak na safal ho nind chain ki tyago tum
sangharso ka maidan chod mat bhago tum
kutch kiye bina hi jay jaykar nahi hoti
mehnat karne walo ke kabhi har nahi hoti.
Harivansh Rai Bachchan – Agneepath
Vriksh hon bhale khade,
Hon ghane, hoh bade,
Ek patra chhah bhi
Maang mat! Maang mat! Maang mat!
Agneepath! Agneepath! Agneepath!
Tu na thakega kabhi,
Tu na thamega kabhi,
Tu na mudega kabhi,
Kar shapath! Kar shapath! Kar shapath!
Agneepath! Agneepath! Agneepath!
Yeh mahaan drishya hai,
Chal raha manushya hai
Ashru, swed, rakt se
Lath-path, lath-path, lath-path,
Agneepath! Agneepath! Agneepath!
Gham-e-Duniya
Ab ke hum bichde to shaayad kabhi khwaabon mein mile
Jis tarah sookhe huye phool kitaabon mein mile
Dhoond ujde huye logon mein wafa ke moti
Ye khazane tujhe mumkin hai kharabon mein mile
Tu khuda hai na mera ishq farishton jaisa
Dono insaan hain to inum itne hijaabon mein mile
Gham-e-duniya bhi gham-e-yaar mein shaamil kar lo
Nasha behta hai sharaabon mein to sharabon mein mile
Ab labon mein hoon na tu hai na wo maaji hai faraaq
Jaise do saaye tamaana ke saraabon mein mile
Heartwarming Poem – Na koi gila na khafa
Kisi se koi khafaa bhi nahin raha ab to,
Gilaa karo ke gilaa bhi nahin raha ab to,
Chunnay hue hain labon par tere hazar jawab,
Shikaayeton ka maza bhi nahin raha ab to,
Yakeen kar ke jo teri aarzu mein tha pehle,
Woh lutf tere siwaa bhi nahin raha ab to,
Woh sukh ke khuda ki hain bakhshishen kya kya,
Yahan yeh likh ke khudaa bhi nahin raha ab to..