Love Poems for Her

happy_girl
Teri nazar mein,teri chahat mein,
ak ankahi pyaari Baat Nazar aati hai
Ke shayad Kuch tho hai Jo tujhme Apni,
Zindgai ki ak shuruaat nazar aati hai

Tu jo hota hai kareeb Mere Yaara
Jo saari duniya ko bula deti hun Main
Tujhme sama kar , bahoon Mein bharke
Apni Umeedo ko Hawa de jaati hun Main

Rokne Ki Koshish karti hun Kudko main
Fir Teri Ankhon mea Doob si Jaati Hun
kehne ko hota hai bahoot Kuch Dil mein
Teri Dadkhan sunne ko Kamosh Ho jati hun

lagta hai Bas Tu Hi Sab Kuch Hai Mera
TU nahi Zindgai Viraan Si hoti Meri’
Kaash ke Kuch Aisa Hota mere “Jaana”
Teri Hasi se Saji Hoti yea Duniya Meri

Par Khawab Tho Khawab hote hai na “JAANA”
Jo Neend Toot Jaane par Kho jaate hai
De kar ak Unsulji si Umeed Mann mein
Aankhon Ko Fir se Nam Kar Jaate hai

Iss Nam Ankhon Mein tu hi Khushi Hoga
jab Tera Ashiyaana Mera Ashiyaana Hoga
WaQt Jab Rukkar Kahega..Hum Dono Se
Tum Jaisa Hamsafar Duniyan mein Koi Na Hoga !!

Children’s Day Special – Woh bachpan ka zamana tha

Happy children’s day!

Happy-Childrens-Day-Wishes-Hindi

The Poem
——–

Ek bachpan ka
zamana tha,

jisme khushiyon ka
khazana tha;

chahat chand ko
paane ki thi,

par dil titli ka
deewana tha.

Khabar na thi
kuch subah ki,

na shaam ka
thikana tha;

thak haarke aana school se,
par khelne bhi jaana tha.

Maa ki kahani thi,
pariyon ka fasana tha;
barish mein kagaz ki naav thi,
har mausam suhana tha.

Har khel mein saathi the,
har rishta nibhana tha;
gum ki zuban na hoti thi,
na zakhmon ka paimana tha.

Rone ki wajah na thi,
na hansne ka bahana tha;
kyon ho gaye hum itne bade,
isse achha to
woh bachpan ka zamana tha…..!!!!

Like and SHARE with your childhood friends..

Romantic Hindi Poem

romantic poem
Aapki chahat ka kuch aisa asar chadha hai hum par…
Ki roshni teri hai aur roshan hum ho rahe hain…
Khushboo teri hai aur mehak hum uthe hain…
Raag tera hai par gaa hum rahe hain..
Dagar teri hai par raasta mera lag raha hai..
Khushi teri hai par khush hum ho rahe hain..
Aur gum mein Tere dukhi hum ho rahe hain…
Yeh pyaar bhi kya Kya byaan kar jata hai ankhoon hi ankhoon mein..
Jaan teri hai…par jee hum rahe hain…
Par jee hum rahe hain..

Pehla Pehla Pyar hai

love poems
Zindagi ka pehla pyar kaun bhulata hai,
Yeh pehli baar hota hai jab koi kisi ko khud se badhkar chahta hai…
Uski pasand, uski khwahish mein khud ko bhul jata hai,
Akele mein uska naam likh likh kar mitata hai…
Baat karne se pehle sochta hai, kya kehna hai,
Baat hone ke baad fir kuch kehna reh jata hai,
Hota hai itna khoobsurat pehla pyar,
Toh jane kyun aksar adhoora reh jaata hai…..