Dil Ko Chhu Len Wali Dosti Poem – Pyar ki inteha hai Dosti

friends-cartoon-pooh-poem
Kya khabar tumko dosti kya hai
Yeh roshni bhi hai andhera bhi hai
Khwahishon say bhara jazeera bhi hai
Bohat anmol ek heera bhi hai
Dosti ik haseen khwab bhi hai
Pass se dekho to sharab bhi hai
Dukh milnae par yeh azab bhi hai
Aur yeh pyar ka jawaz bhi hai
Dosti yoon to maya jaal bhi hai
Ik haqeeqat bhi hai khayal bhi hai
Kabhi furqat kabhi vishal bhi hai
Kabhi zameen kabhi falak bhi hai
Dosti jhoot bhi hai such bhi hai
Dil main reh jaye to kasak bhi hai
Kabhi yeh haar kabhi jeet bhi hai
Dosti saaz bhi sangeet bhi hai
Sher bhi nazam bhi geet bhi hai
Wafa kya hai wafa bhi dosti hai
Dil se nikli dua bhi dosti hai
Bus itna samajh le tu
Payar ki inteha bhi dosti hai..

You All Love Him and His Poems – Kumar Vishwas new Add Ons

Kumar Vishwas
Saji Hai Khushnuma Mehfil Sabhi Dildaar Bethe Hain…
Jidhar Dekho Udhar Hi Ishq Ke Bimar Bethe Hain…
Hanseeno Ki Adaaon Pe Sabhi Dil Haar Bethe Hain…
Hazaron Mar-Mite Aur Sainkron Tayyaar Bethe Hain…

Kisi pathar mei moorat hai, koi pathar ki moorat hai…
Lo hum ne dekh li duniya, jo itni khubsurat hai…
Zamana apni samjhe par mujhe apni khabar ye hai…
Tujhe meri zarurat hai mujhe teri zarurat hai…

Mera apna tajurba hai, tumhe batla raha hu mai…
Koi lab chhu gaya tha tab, ke ab tak gaa raha hu mai…
Bichad kar tumse ab kaise jiya jaye bina tadpe…
Jo mai khud hi nahi samjha wahi samjha raha hu mai…