Sada To Dhoop Ke Hatho Me Parcham Nahi Hota,
Khushi Ke Ghar Me Bhi Bolo Kabhi Kya Gam Nahi Hota?
Fakat Ek Aadmi Ke Waste Jag Chhodne Walo,
Fakat Uss Aadmi Se Yeh Zamana Kam Nahi Hota.
Category: Kumar Vishwas Poems
Gehraaiyon mein kumar Vishwas
Panaho Me Jo Aaya Ho To Uspar Waar Kya Karna,
Jo Dil Hara Hua Ho…Uspe Phir Adhikaar Kya Karna,
Mohabbat Ka Mazaa To Dubne Ki Kasmkash Me Hai….
Jo Maloom Ho Gehraai To Dariya Paar Kya Karna..
Dil Shayari by Kumar Vishwas
Tumhein pe marta hai ye dil, adavat kyun nahin karta?
Kayi janmo se bandi hai, bagawat kyun nahin karta?
Kabhi tumse thi jo, wo hi shikayat hai jamane se
Meri tareef karta hai, mohabbat kyun nahin karta?
Kumar Vishwas Shayari
Gireban Chaak Karna Kya Hai Seena Bahut Mushqil Hai
Har Ik Pal Muskura Kar Ashq Peena Aur Mushqil Hai
Humari Bad Naseebi Ne Humein itna Sikhaya Hai
Kise Ke Ishq Mein Marne Se Jeena Aur Mushqil Hai
You All Love Him and His Poems – Kumar Vishwas new Add Ons
Saji Hai Khushnuma Mehfil Sabhi Dildaar Bethe Hain…
Jidhar Dekho Udhar Hi Ishq Ke Bimar Bethe Hain…
Hanseeno Ki Adaaon Pe Sabhi Dil Haar Bethe Hain…
Hazaron Mar-Mite Aur Sainkron Tayyaar Bethe Hain…
Kisi pathar mei moorat hai, koi pathar ki moorat hai…
Lo hum ne dekh li duniya, jo itni khubsurat hai…
Zamana apni samjhe par mujhe apni khabar ye hai…
Tujhe meri zarurat hai mujhe teri zarurat hai…
Mera apna tajurba hai, tumhe batla raha hu mai…
Koi lab chhu gaya tha tab, ke ab tak gaa raha hu mai…
Bichad kar tumse ab kaise jiya jaye bina tadpe…
Jo mai khud hi nahi samjha wahi samjha raha hu mai…
Kumar Vishwas Awesome Shayari
Bahut bikhra bahut toota thapede seh nahi paaya,
Hawaaon ke ishaaron par magar main beh nahi paaya,
Adhoora an suna hi reh gaya youn pyaar ka kissa,
Kabhi tum sun nahi paaye, kabhi main keh nahin paaya
Bhramar koi kumudni par machal baitha toh hungama,
Humare dil mein koi khwaab pal baitha toh hungama,
Abhi tak doob kar sunte the sab kissa mohobbat ka,
Main kisse ko hakikat mein badal baitha toh hungama
Main uska hun wo is ehsaas se inkaar karta hai,
Bhari mehfil mein bhi ruswaa har baar karta hai,
yakin hai saari duniya ko khafa hai humse woh lekin,
Mujhe maaloom hai phir bhi mujhi se pyaar karta hai
Main jab bhi tez chalta hoon nazaare choot jate hain,
Koi jab roop gadhta hoon to saanche toot jate hain,
Main rota hoon to aakar log kandha thap thapate hain,
Main hasta hoon to mujhse log aksar rooth jate hain
Mat poooch ki kya haal hai mera tere aage,
Tu dekh ke kya rang hain tera mere aage
Samandar peer ka andar hain lekin ro nahi sakta,
Yeh aasun pyar ka moti hain isko kho nahi sakta,
Meri chahat ko dulhan tu bana lena magar sun le,
Jo mera ho nahi paaya woh tera ho nahi sakta