Buzdil musibaton ke aage bikhar jata hai,
Andheron ke aage saya bhi thahar jata hai,
Mere haunsle ka imtihaan lene walon,
Aag mein jalkar sona,
Kala nahi hota, aur bhi nikhar jata hai.
GURU..
Surkhuru hota hai insaan,
Aafatein aane ke baad,
Rang lati hai heena,
Pathar pe piss jane baad.
Chandni ka kya hai, yeh to dhalti rahegi,
Shama ka kaya hai, yeh to pighalti rahegi,
Abhi to mehfil ka aaghaz hua hai yaaron,
Yeh shaam apne shabaab tak chalti rahegi.
For Kangana
Ban ke gul wo chaman ko mehkane aayi hai,
Hoke nasha wo fizaon ko behkane aayi hai,
Naujawano zara dil ko tham ke rakhana,
Kangana banke Rajjo dil ko churane aayi hai.
By audience
Shama bujhkar bhi jal sakti hai,
Kashti ehle toofan se nikal sakti hai,
Mayoos na karo apne iraadon ko,
Kismat kisi bhi waqt badal sakti hai.