1. Teri mohabbat teri wafa tera irada tu jane,
Main karta hun sirf aur sirf tumse mohabbat yeh mera khuda jane..
2. Samajh nahi aata hai ki tum mujhe dard de rahi hai ya khushi,
Tumhe yaad karte hi meri aankhon mein aansu aa jate hai aur hothon par muskan..
3. Tum door bahut door ho mujhse yeh to janta hun main,
Par tum se kareeb mere koi nahi hai yeh baat tum bhi kabhi na bhulna..