For Ajay devgn
Aag ke samandaro se wo chal ke aaya hai
Aasma ke shikanje se wo nikal ke aaya hai
Dekho mere ghar ko roshan karne aaj
Ajay naam ka suraj khud chal ke aaya hai
For Prakash jha’s movie SATYAGRAH
Bhukhe pet to nahi hain
Magar roti se doori hai
Gale katwakar bhi na rona
Yeh kaisi majburi hai
Aaj BAPU hote to hum sab se kehte
SATYAGRAHA kal bhi zaruri tha ..
Aur aaj bhi zaruri hai..
Najane kaunsa hadsa akhbaar mein aa jaye,
Najane kaunsa sikka bazaar mein aa jaye,
Array chor uchhakkon ke sath bhi dosti karlo yaaron,
Najane kaun kal sarkaar mein aa jaye!!