Angoor Pighalta hai, to sharaab ho jaati hai
Chingari bhadkti hai to aaftaab ho jaati hai
Jab sunta hun zamaane mein naam Mikke ka
To Siddhu ki Chhati phool ke Punjab ho jaati hai
Jo dil mein aaye, yeh banda bechhoot karta hai
Prem ke hathiyar se dilo pe loot karta hai
Ise dekh kar kaha hai Bachchan sahab ne
Chumma chumma wala gaana Mika pe suit karta hai
For Kapil Sharma
Raag bajta hai, Rang bajta hai
Pyaar ka ang ang bajta hai
Tum jab gaate ho comedy king Kapil
Aisa lagta hai ki Ruh ka jal tarang bajta hai