Wo ja chuka hai usko sadaaye na dijiye,
Uski mahfilo mai jakar use yun ruswa na kijiye.
Tumhe to kuch sharm nahi kuch to lihaz kijiye,
Uske liye ab koi khayal – e – Dua na kijiye.
Usne kab kaha tha ki chaaho mujhe bepanah,
Tumne hi chaha use ab gila naa kijiye.
Hamesha nahi hote sab khwab pure,
Uski gali mai jaakar roz tamasha na kijiye.