Zara si der ko aaye the khaawb aaNkhoN mein
Phir us ke bad musalsal azaab aaNkhoN mein
Wo jis ke nam ki nisbat se raushani tha wajood
Khattak rahaa hai wohi aaftaab aaNkhoN mein
Jinhein mata-E-dil-O-jaN samajh rahe the hum
Wo aa’iine bhi hue behijaab aaNkhoN mein
Ajab tarah ka hai mausam Ki khak uRti hai
Wo din bhi the ki khile the gulaab aaNkhoN mein
Mere Ghazaal teri wahshaton ki khair, Ki hai
Bahut dino se bahut iztaraab aaNkhoN mein
Na jane kaisi qayaamat ka peshkhema hai
Ye uljhaneN teri be-intasaab aaNkhoN mein