Kali khilke aaj phool ho gayi,
Saalon ki mehnat wasool ho gayi,
O Bittoo sun li aakhirkar Rab ne teri,
Teri bua aur dua kubool ho gayi.
For Farhan
Loha tapta, pighalta, sulaghta hai,
To jake do dhaari talwar banta hai,
Sona kha ke sunar ki maar pichhyon,
Kisi heer ke gale ka haar banta hai,
Lakh aandhiyan, jhakkhar , toofan jhelke,
Koi singh surma Akhtar Farhan banta hai.
By Palak
Agar main aapko bina make up ke milungi to aap darenge,
Ya phir hawan karenge, hawan karenge
For Vidya
Hum to aashiq hain, mehboob ki baat karte hain,
Yaad aa jaye agar koi haseen to Rab se fariyaad karte hain,
Aur kabhi jab zikr karna ho shokh phoolon ka,
To Vidya Baalan ki muskurahat ki baat karte hain.
By Hone wale fufaji
Kash ki aapne na puchha hota mera machgala,
Very simple bhai, udhar se paise liye, idhar se nikla.