Fir kuchh is dil ko beqaraaree hai
seena zoya-e-zaKHm-e-kaaree hai
Fir hue haiN gawaah-e-ishq talab
ashq_baaree ka hukm_zaaree hai
Be_KHudee be_sabab naheeN ?
kuchch to hai jiskee pardaadaaree hai?.
Fir kuchh is dil ko beqaraaree hai
seena zoya-e-zaKHm-e-kaaree hai
Fir hue haiN gawaah-e-ishq talab
ashq_baaree ka hukm_zaaree hai
Be_KHudee be_sabab naheeN ?
kuchch to hai jiskee pardaadaaree hai?.
Ye na thee hamaaree qismat ke wisaal-e-yaar hota
agar aur jeete rehte yahee intezaar hota
Tere waade par jiye ham to ye jaan jhooT jaanaa
ke KHushee se mar na jaate agar eitabaar hota
Har ek baat pe kehte ho tum ki too kya hai? ?
tumheeN kaho ke yeh andaaz-e-guftgoo kya hai ?
na shole meiN yeh karishma na barq meiN yeh ada
koee batao ki woh shoKH-e-tund_KHoo kya hai ?
yeh rashk hai ki wo hota hai ham_suKHan tumse
wagarna KHauf-e-bad_aamozi-e-adoo kya hai ?
chipak raha hai badan par lahoo se pairaahan
hamaaree jeb ko ab haajat-e-rafoo kya hai ?
jalaa hai jicm jahaaN dil bhee jal gaya hoga
kuredate ho jo ab raakh, justjoo kya hai ?
ragoN meiN dauDte firne ke ham naheeN qaayal
jab aaNkh hee se na Tapka to fir lahoo kya hai ?
woh cheez jiske liye hamko ho bahisht azeez
siwaay baada-e-gul_faam-e-mushkaboo kya hai ?
piyooN sharaab agar KHum bhee dekh looN do chaar
yeh sheesha-o-qadah-o-kooza-o-suboo kya hai ?
rahee na taaqat-e-guftaar, aur agar ho bhee
to kis ummeed pe kahiye ke aarzoo kya hai ?
bana hai shaah ka musaahib, fire hai itaraata
wagarna shehar meiN ?GHalib? kee aabroo kya hai ?
Bahot sahi gam-e-geti sharab kam kya hai
gulam-e-saqi-e-kausar hun mujhako gam kya hai
tumhari tarz-o-ravish janate hain hum kya hai
raqib par hai agar lutf to sitam kya hai
sukhan mai khama-e-galib ke aatashafashani
yaqin hai hamako bhi lekin ab us mai dam kya hai