Badi muddat se mere dil mein ek tasveer behti hai …
Teri zulfon ke chao mein meri taqdeer behti hai
Kabhi kabhi dil ke paimane mein khushi itni badh jati hai …
Ki khud ba khud aasun ke cheetey bankar jhalak jati hai
Falak ke teer ka kya dekh nishana tha,
Udhar thi bijli idhar mera aashiana tha …
Pahunch rahi thi kinare pe kashti-e-umeed,
Us hi waqt is toofan ko bhi aana tha
Taqdeer banane waale tune kami na ki …
Ab kisko kya mila yeh muqaddar ki baat hai
Dil mein jab dard zyada bhad jaata hai …
Insaan kabhi kabhi us hi mein doobkar marr jaata hai.